Published 9 years ago
Last updated 4 years ago
Q: Chaasht ki namaaz kitne baje pari jaati he? Din bhar me makroo waqt kab se kab tak hota he? Fajar se kitne minute pehle tahajjud ka waqt khatam hota he?
A: 1. Chaasht ki namaaz ku suraj ke tuloo' hone ke bees minute ba'd se lekar zawaal tak parhi jaasakti he. Lekin is poore waqt ku agar do hisse kiya jae to dowsre aadha me parhna ziyaada behtar he.
2. Fajar ke ba'd suraj ke tuloo' hone tak nafil namaaz parhna makrooh he. Issy tarah asr ke namaaz ke ba'd suraj ke ghuroob hone tak nafil namaaz parhna makrooh he.
3. Tahajjud namaaz subah saadiq tak parhi jaasakti he. Subah saadiq ke daakhil hone se fajar ka waqt shuroo' hota he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: