Tijaarat aur us ke mutalliq masaail

Zarfund company me kaam karna

Q: Zarfund aik company he jis mey kaam krna chahta hu. Is mey mey join kru ga 2700 rupee fees dy kr phir mey 2 logo ko join krwao ga or wo bhi fees de gy jo ke mujy aey gi is trha mery pas 5400 o j ga or mey us mey sy 5200 oper valy ko send kr du ga or mera profit 200 rupee o ga yeh mera pehla level o ga is trha hr bnda 2 ko join krwaey ga or paisy oper transfer o gy apna profit rkh kr or yeh silsla 6 level tk chly ga. Aap youtube pe vedio bhi check kar skty hain. Mera swal yeh he ke kya yeh profit halaal ho ga ke haraam kuke is me hamari mehnat sirf joining karwany ki he?

Riba owr profit me farq

Q: Islam me interests ka pesa haram mana jata hai to phir bank se interest lena theek hai kya? Aur retailers bhi agar kisi shop me cost price se X3 selling price bana ke beche to kya wo haram nai hai? Retail business me phir profit kitna tak lena chahiye? I mean ziyaada lena bhi to sayad haram hai kya?

Riba

Q: Mere account bank may hai jis may mayri salary ati hai. Ya saving account hai. Is pay December ke mahina may profit laga thaa jo taqreeban 180 rupay hai. Me profit nahi istamal krna chahta. Kya ya paisay may kisi gareeb ko day skta hn ya phir may in paysun ko zaya kar dun. Please reply.

Mazdoor ku waqt ke upar tankhwa ne dena

Q: Mera sawal a hai ke jo log mazdor ku bola ke un se mehnat kara kar mazdori dene ke liye pareshan karte hai un logon ke liye kya kehna cahiye ek mazdor ki mazdori 500 ke hisab se lekar jate hain magar paise dene ke liye bahut pareshan kar rahe hain kuch bhi bolo magar un logon ku thuda bhi haisas nahi hota ke o log mazdor ki mazdori na dene se un mazdoron ke ghar ke halat kaise guzren ge har bar agle hafte dunga agle mahine dunga yahi bath 2 saal se kehte arahe hai magar dene ka irada abhi tak nahi hai aur a ju log hain sare musalman hai ab aap hi bataye mai kya karon mai bahut pareshan hon aur qarz me dobba huwa hon kaam se kam muje e15 se 20 lakh rupye anna hai magar koi de nahi raha hai hamare aqaa rasool allah salalahu alaihi wa sallam ne farmaya hai mazdor ki ujjrat us ka pasina qasq bhone se pahle adda kardo aise logun ku aap kya kahenge?

Maal daar ka taal matowl karna

Q: Mere ek client ne meri payment roki hui he wo adda nai kar raha 2 saal se or mujhe bohat zaroorat he apne paison ki. Mene use furniture sale kiya tha, me usko islami hadees se usko ehsaas dilana chahta hun k wo ghalt kar raha he or wo paisey iske qabar tak saath nai jaye ge. Mujhe koi hadees bataye jo usko me bheju or uski samjh me aaye ke wo ghalt kar raha he.

Soodi paisa

Q: Mujhai yai janna hai ki bank book mai jo bhi interest ki amount aati hai oes ka istemal kaha karna chahiyai? Mai teacher hu gareeb ghar kai bachai ziyada hai kya mai class mai teaching aids kai liyai in paiso ka istemal kar sakti hu kya. Aap mujhai pllz list dijiyai kaha par interest kai paisai laga saktai. Or kya house loan mai interest kai paiso ko istemal Kar saktai pllz batana. Or yai bhi janna hai ki agar kisi insan nai apni hayati mai jinnat daikhai aisa toa lagta nahi but khawab mai aisa lagai to a kya jinnat ko daikhna gunnaha hai aisa khawab mai laga pllz yai bhi clear karna.

Insurance company me kaam karna

Q: Mera sawaal ye hai ke maine general insurance ki study ki aur mai Job search karraha hun KSA,Dubai,Oman jaise Muslims countries ki Insurance company mai job karna chara only General Insurance companies. Kya General Insurance Companies mai job karna jayaz hai kya meri salary halaal hogi? Mera kaam Insurance underwriter ya Insurance Specialist ka hoga. Agar General Insurance Haraam hai tho Saudi Arab jaise Muslim countries mai bahut se companies hai jise humare Muslim bhai he chalate hai agar ye itna he Haraam hai tho Saudi Arab jaise Muslim countries kyun permission degi is Haraam kaam ko anjaan.. Meri ap se adaman guzaarish hai ki is ke mutaliq sahi fatwa jari kare iski bariki dekke hartaraf se soonch bichaar kar ye faisla le ki mera General Insurance companies mai job Karna halaal hoga ya Haraam?