fights

Avoiding problems

Q: There are musallees who are repeatedly making attempts to overthrow my father from his position as a musjid trustee who has been doing most of the good work single handedly, now I see my friends who I trust that are joining those musallees and claiming that they want to assist my father. I feel uncomfortable in their presence when I go for salaah because I know that some of them have negative feelings towards me and my father. How do I approach this situation as I want go to musjid without ill feelings towards them?

Waalidah aur biwi me se kis ko khush kare?

Q: Mujhe ap se inthai aham aur nazok masla pocha ha.main auk sarkari molazim hon.mahwar tankhow 20000 ha meri shadi ko 10 sal ho choke hain mere 2 bache bi hain Allaha ka shokor ah azwagi zindgi bahot achi gozar rahe ha.

Lakin masla ye ha kh mere parents khas tor pe waldha ki waja se meri azwaji zindgi aur zahini pereshani had se zinda rahe ha. main janta hon kh waldha ka maqam bahot se bi bahot zidha ha.is waja se in 10 salaon main main ne 1 lafz bi nahe kaha balkh momlat ko dorost aur waldha ko khosh karne k chakar main bahot dafa apni wife pe hath uthaya ha. Ab masla ye ha kh mere chote bhai ki shadi ho choki ha to mujh se chota bhai sakht mizaj ka ha,meri walda os k sath thik ha,os ki wife k sath be had se zida thik ha,lakin meri wife k sath her bat pe zid mere sath her bat pe larai.For example meri beti aur meri sister ki umer main taqriban 4 sal ka farqho ga taqriban 6 ki meri beti and my sister is 10 years old.meri pori koshish hoti ha kh jo chiz apni beit k lie lon wahe sister k lie bi but meri tankhwo intin nahe kah main bahot zida khrcha kar sakon pher bi koshsh hot ha..lakin ager kabi meri wife meri beti k lie kuch le le to bus jahgra shoro kh tumhri wife ne to apni marzi ki meri biti k lie kun nahe lai.and mera sara din is kam main gozar jata ha kaha waldha naraz na hon.lakin pher bi wo khsh nahe main kua karon.main ye soch soch k zahni mariz hota ja rah hon kh main hamesha se khd se apni wife se apni sister aur brothers aur waldha ko tarjhe di.pher mere sathe he esa salok kun ager adat ha meri walda ki to mere sathe he kun bhi k sath to thik on ko kuch nahe kahti balkah on ki chota se chota kam bi khod karti hain on ki wife ka on ka.aur mere sath nagaive behavour kun.Main khoda k khof se pher mafi mangta hon wo pher is taraha karti han mere 10 sal is tarha gozar ge ab main ahsaass e mahromi wali kafet se gozar raha hon na gor apni biwi bachon ko attention de pa raha hon na kuch.Mujhe kua karna chahe please mujhe raste btye main bahot taklife main hon.walda ki waja se apne wife apne bachon ka haq na mar jaon aur apni biwi aur bachon ki waja se waldin ka na haq mar joan. jabhkha meri wife auk parhe likhi khaton hain aur bahot coprative hain.main ne bahot sari urton se bahot acha paya ha ose.mere aur mere parnts k sath mokhlis ha wo bi main kua karon.Jabkha mere wald sahb ki pay 42000 ha aur mere parents mashallaha sahitmand hain.

Husband not taking care of his family

Q: If a husband does not give enough money for spending at home e.g. groceries, shopping, rent, credit card bills, etc. and because of that situation every time there is a fight between the couple and this affects the kids as well, so what should the wife do to take care of the kids and house. The husband has alot of money for other expenses but he is not bothered about his family.

Khaawind ke jhagre me ne parna

Q: Mere shaadi ko 20 saal ho gaye 2 bachhe hain. Hum deendar hain mere shohar tagleegh me bahut saal se hain, fazail-e-amaal ki taaleem bhi ghar me hoti hai. Hum hamesha haalaton me mubtila rehte hain kahin na kahin isi wajah se mere shohar mere parents se hamesha naraaz rehte hain jabke mere parents ke bahut ahsanat hum par bahut hai. Din ba din mere shohar bahut saqt hote ja rahe hain mere parents se baat bhi nahi karte phir bhi wo mujh se milne aate hain to bhi baat nahi karte wo khud bahut samajhdar hai phir bhi main bahut samjhaati hoon wo kabhi kabhi mujhe bhi un se jhagadne ke liye uksaate hain. Mere shohar ke harkaton se mere parents mujh se naraaz rehte hain. Main dono ke beech kuch bhi theek nahi kar sakti sirf Allah se ummeed lagaye hoon. Aajkal mere shohar mujh se bhi naraaz rehte hain hum log hamesha pareshani me rehte hain Allah ki aazmaishon se hamesha ghire rehte hain lekin mere parents achchi haalat me hai shaayad isi wajah se mere shohar pareshaan rehte hain in wajahon se main aajkal mentally bahut disturbed hoon main ne mere shohar ke liye bahut qurbaniyan dee hain. Phir bhi wo mujhe gair samajhte hain un ko samajhana kisi ke bas me nahi Allah hi unko samajh de sakta hai mujhe koi aisi dua bataayiye jis se main apne shohar ka dil naram kar sakoon. Mera doosra masla ye hai ki mere father ki property ghar estate sab mila ke dedh crore ki hai hum do behne aur ek bhai hai hum 3 bhi settled hain. Mere father property share karna chaahte hain mere parents bhai ke saath hai to mera kya hissa unke property me hoga? Agar mere father shariyat ke mutaabik nahi diya to kya main demand kar sakti hoon? Ya un ke ahsanat ki wajah se chup rahoon? kya mere shohar mujhe property lene se mana kar sakte hain ya nahi agar mana kare to kya main un ke marzi ke khilaf ja kar mera haq samajh kar le sakti hoon? Mujhe in sawaalon ke jawab chaahiye mufti saahab shaayad mere liye Allah se madad aapke zariye se mile Allah aapko hamesha achchi sehat aur lambi hayaati ataa kare.