Khaawind ke jhagre me ne parna

Q: Mere shaadi ko 20 saal ho gaye 2 bachhe hain. Hum deendar hain mere shohar tagleegh me bahut saal se hain, fazail-e-amaal ki taaleem bhi ghar me hoti hai. Hum hamesha haalaton me mubtila rehte hain kahin na kahin isi wajah se mere shohar mere parents se hamesha naraaz rehte hain jabke mere parents ke bahut ahsanat hum par bahut hai. Din ba din mere shohar bahut saqt hote ja rahe hain mere parents se baat bhi nahi karte phir bhi wo mujh se milne aate hain to bhi baat nahi karte wo khud bahut samajhdar hai phir bhi main bahut samjhaati hoon wo kabhi kabhi mujhe bhi un se jhagadne ke liye uksaate hain. Mere shohar ke harkaton se mere parents mujh se naraaz rehte hain. Main dono ke beech kuch bhi theek nahi kar sakti sirf Allah se ummeed lagaye hoon. Aajkal mere shohar mujh se bhi naraaz rehte hain hum log hamesha pareshani me rehte hain Allah ki aazmaishon se hamesha ghire rehte hain lekin mere parents achchi haalat me hai shaayad isi wajah se mere shohar pareshaan rehte hain in wajahon se main aajkal mentally bahut disturbed hoon main ne mere shohar ke liye bahut qurbaniyan dee hain. Phir bhi wo mujhe gair samajhte hain un ko samajhana kisi ke bas me nahi Allah hi unko samajh de sakta hai mujhe koi aisi dua bataayiye jis se main apne shohar ka dil naram kar sakoon. Mera doosra masla ye hai ki mere father ki property ghar estate sab mila ke dedh crore ki hai hum do behne aur ek bhai hai hum 3 bhi settled hain. Mere father property share karna chaahte hain mere parents bhai ke saath hai to mera kya hissa unke property me hoga? Agar mere father shariyat ke mutaabik nahi diya to kya main demand kar sakti hoon? Ya un ke ahsanat ki wajah se chup rahoon? kya mere shohar mujhe property lene se mana kar sakte hain ya nahi agar mana kare to kya main un ke marzi ke khilaf ja kar mera haq samajh kar le sakti hoon? Mujhe in sawaalon ke jawab chaahiye mufti saahab shaayad mere liye Allah se madad aapke zariye se mile Allah aapko hamesha achchi sehat aur lambi hayaati ataa kare.

A: Hamaari naseehat ye he ke aap khaawind ka jhagre me ne pare. Aap apne waalidayn ko bhi mahabbat aur ihtiraam ki nigaah se dekhe aur usme kotaahi ne honi chaahiye aur khaawind ki nibaahne ki koshish kare. Agar uski zabaan se koi sakht lafz ya baat nikal aaye aap uski taraf dhiyaan ne de kuch ne kahe balke uski ta`zeem me kisi qisam ki kotaahi ne kare. Is tarah sabar karne se Allah aapko ziyaadah nawaaze.

Ye meeraath taqseem hota he marne ke ba`d. Lihaaza marne se pehle koi jhagra he hee nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)