Hajj owr Umrah

Ihraam ki haalat me haidh shuroo hojana

Q: Mein Medina se umrah k kiye meeqat se niyat kar k Makkah rawana hui per Makkah pohanch kar haiz hogaya tou anjanay mein ahram ki niyat mjhse khatam hogayi. Khusboo wala soap, aur hath pe ittar bhi lag gaya aur naqab bhi pehen liya jesa mjhay laga k haiz ki waja se ab ihraam nahi raha mera..Mjhay kindly batayen k ab mein umrah kesay aur kahan se Ihram ki niyat karun? Mein abhi makkah mein Hun..buhut pareshan Hun.. Allah maaf farmaye Mjhsay kya gunnah hogaya

Bete ke liye tawaaf karna

Q: Meri 4 betiyaan hain. Aj meri betiyoon k mamoo ki call aai. Woh saudia mein haj k iradey se Makkah mein majood hain. Unhoon ne poocha k main aap k liye betey (son) ki dua ya mannat k tor par tawaf ya umrah karna chahta hoon. Is k baarey kia hukam hai?

Hajj jisme qurbaani ho

Q: Main Saudi Arabia مكة المكرمة me muqeem hu or apni wife ko Saudia bulvaya he. Hum ne last Ramzan me عمره adaah kiya. In Sha Allah hajj ke neyat he.

Ma ne 1st haj keye huy hen but wife 1st time haj kar rahi he or قرباني karni chaty hen. Ladies k sat 1st time haj kar raha hu tu smj nai ah rahi k kon se haj ke niyat karvao jis me qurbani b hu saky. Wife kon se hajj ke niyat kare افراد يا تمتع. Main حج افراد ke niyat karo ga ku k maine 1st haj adaah kiya tha qurbani b ke thi. Is dafa wife qurbani kare g ku k oska 1st haj he. 

Hajj-e-badal

Q: Meri Ami Hajj ki mali istitaat rakhti hain . Lieken unko Sans ki takleef or Joints ki takleef hai woh Washroom tak or rooz mara keh kaam muskil sy krtien hain unki age 57 year hai. Pochna tha keh un paar hajj farz hai mgr woh Apni bemari ki wjha sy Hajj nae kr saktien. Hajj to farz hai mgr is bare me kia hukam hai jo shaks istitat rakhta ho mgr bemari ki wjha sy hajj na kare saky?

Ihraam ka baandhna haidh ki haalat me

Q: Meri biwi umry py ai thi us ne umra kia or phr 10 din k liye madina me aa gye ham magr jab 10 din k bad jany lagy wapis madina to Meri biwi k ayam shuro ho gye yani menses start ho gye ab us halat me kia uska ahraam bandhna zarori tha madina pak waly meekat see ya nhi us nee to nhi bandha ahraam madina pak waly meekat see r sab ortin kahy rhi hin k aap par daam par gya he.