Meeraath ki taqseem
Q: Mere walid ka inteqal hogaya hai unki 1 crore ki property hai, tou us mei se mere walida, mera bhai, meray dada aur meray hisse ka division kesay hoga?
Q: Mere walid ka inteqal hogaya hai unki 1 crore ki property hai, tou us mei se mere walida, mera bhai, meray dada aur meray hisse ka division kesay hoga?
Q: Teen bhai aur ek behan aur ek waldah ka 1900000 rs me kitna kitna hissah banta hai?
Q: Agar baap se pehle betay ka inteqal hojaye tou kiya baap ki wirasat mei us ka koi hissa hoga ya phir wo khatam hojaye ga?
Q: Mera sawal hai ke jab meray father 12 saal ke they tou meray dada nee aik Ghar un ke naam pe kharida or aaj bhi wo Ghar un ke naam pe hai or meray father shaheed hogaye Hain tou us Ghar me kya meray father ke bachon ke ellawa Kya un ke Bhai behnon ka bhi haq hoga?
Q: Mery nana thy un ka ik makana tha un k 9 bchy hain 5 bhai 4 bhnain nana ab is duniya ma ni hain do bhai usi mkan mai rehtay thy kafi sal sy aik ny to rent per dy diya tha adha hissa,us ka bijli or guess k bill b ada ni kiye tha ab sab chahty hain unko hissa mily mkan bechana chahty hain, mkan ki qeemat 33 lakh lgi, to aik bhai jo kam sab kra rahy hain unho nay bijli k bill ada kardiye 3 lakh k , us k bad mkan k paiso mai hissay lgaye , kia ye sahi hai? or us k bad 30 lak main say unho nay bhaiyon main 5 lakh or bhno ma derh lakh denay ki bat ki ha, ab ap ye sab detail say btayen k kia ghlat hai or kia sahi or distribute kesay ho or kitna ho?
Q: Ek ghr meray nana k nam ha abi tak or unki death k bad abi tak takseem nahi hua. Nana k 3 betay aur 4 betiyan thien. Jin me sy ek beta or beti fot ho gi ha. Betay ki koi olad nh thi, aur beti ki 3 betain or 2 betay hain. To jis beti ki death hogi ha usy nana k ghr sy hisa milay ga ya nahi? aur agar milay ga to uski agy sy kia takseem hogi?
Q: Warasat ka poochna ha property ha to orat ka kitna hissa hoga misal day or btayen or aik sawal jo makan k hissay taqseem hony hain us pr gas or bijli k bill thy wo ada kr k us k bad hissa lagaya jaraha ha to kia ye sahi baat ha?
Q: Agar baap bataay ko apni jaidaad (property) say bay dakhaal kareey to kay bataay ko maa baap ke khidmath mai kuch choot hai. Ya jaisay maa baap ka haqq hai wohi hai.
Q: Agar walid ne kaha ho ki meri property ya har chiz mai betiyo ka koi hissa nahi hai or maine inki shadiya kardi hai baki 2 lakh rupee or die jaege bas inhe par 2 lakh die nahi or is baat ka koi wasiyat naama nahi likha gaya bas muh se kahi hui baat hai or walid ka inteqal ho gaya to bete apni behno ko pura hissa denge ya jo walid ne kaha ho wo hoga ??
Q: Mere dada ki zameen thi kuch saal pehle unhone kisiko free mai istemal karne ko di thi kyuki wo garib tha baad mai mere dada ne usse wo zamin mangi to usne mana kar dia jiske baad dada ne uspe court case kar dia.
Dada ki himmat jab tutne lagi to case to dada ne case ka zimmedar mere chacha ko bana dia. Dada ke inteqal ke baad mere chacha apne sab bhai behno se dhoke se no objection paper pe signature karwa liye jisse ki agar mere chacha case jit jate to sari zamin chacha ki hoti. Case chalta raha or us zamin ki kuch jagah par mere chacha ka kabza hai baki zamin pe uska kabza hai jo dusri party case ladh rahi hai.
Ab dusri party case jit gai hai or mere chacha or us dusri party ke bich samjhota ho raha hai ki is zamin pe building banegi or kuch hissa mere chacha or kuch dusri party legi. Is fesle pe mere chacha ki behne satisfied hai.. Mera sawal ye hai ki kya qayamat ke din or is dunya mai bhi mere walid ka hissa hai ya nahi?