urdu

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine apne khwab me dekha me bhot sari hath ki watch dekhi ek do tuti Hui thi ek do bnd watch thi or theek thi. Ye saari watches mai apne hath me pehan pehan kar dekh rahi thi. Kuch watches to bilkul tuti hui thi. Aap muje is khwaab ka matlab bataye.

Auhaam aur shubuhaat

Q: Mere sth ek masla hua hai ap plz rehnumay krdein! Kch time se mere sth ek masla chal raha hai mai kahin b janey ka sochti hn tau mai khud se man mai bolti thi yah pta nhi mere dill mai khayal ata tha k tm jaogi tau tumhe talaq ho jaye gi phr koi kaam krti hn yah kch wash krti hn tau khayal ata hai 3 dafa karo agr 3 dafa na kia tau talaq ho jaegi. Aur ab thore din phele ki baat hai mai tv dekh rahi thi us mai ek drama mai ek larki talaq k liye ek waqeel k pas jati hai. Jesey he yah scene aya mene talaq k dar se channel change krdiya phr wapis us channal pr lagaya tau shohar apni bv ko talaq deta hai tau yeh dekh kr mujhe aese laga k mere shohar ne mujhe yeh kaha hai lekin phr subha jb mene un se pocha tau mere shohr ne kaha k mene tau kch nhi kaha tha mujhe tau yeh b nhi k tm knsa drama dekh rahi thi.Tau kia meri talaq hue yah nhi? Ab mujhe bht doubt ho raha hai k agr talaq hue hogi tau. Mene apne shohr se kahin dafa pocha liya hai lekin mere shohar ne kah mai aesa kyu kahunga mene nhi kaha... Mera sawal yeh hai k ab is barey mai mere liye kia sharae hukum hoga..kia mai is barey mai istikahara krwa sakti hn k yeh mera doubt hai yah such mai talaq hue hue hai

Sunnat aur Nafl namaaz me har rakaat me ek surah parhna

Q: Mene ayk namaaz ki kitaab me parha he ke hum sunnat aur nafil me har rakat me ayk hi surah parsakte he lekin farz namaaz me alag alag surah parni hoti he.

1. Yani do ya chaar rakat sunnat aur nafil me har rakat me "Surah Ikhlas" parsakte he kya ye saheeh tareeqa he?

2. Sunnate muakadda and sunnate ghair muakkada downo me har rakat me ayk hi surah parhi jaaskti he? 

Jhooti qasam

Q: Mere shohar ne mujhse do bar jhuti kasam kha k mujhe bola hai or akhri bar unko jab meine quran paak hath mei lekar kasam khane ko kaha to wo hath mei utha kar kasam khaliye lekin tabbhi mujhe yakin nahi hora hai aisa lagta hai jab ye insan 2 bar jhuti kas kha chuke hai to abbhi jhuti kasam hi khayenge. Please mujhe bataye ke kya aisa koi tarika hai jisse malum pad jaye ke kasam sacchi hai ya jhuti please. Mujhe reply karde.

Khwaab par poori i'timaad ne karna

Q: Kya istikhara ka jawab zaroori hai ke khuwaab aye agr khuwaab aa bhi jaye to wo sahi na ho to us khuwaan ko jawab maan lena chaiye? jaise k meri sis ne istikhara kiya shadi k liye uskk khuwaab aya k humara ghar sajja hua hai wo darwazay pe jati hai humarau ghar k samanay ek or sajja hua ghar hota hai ye qareeb jati hai to wo ghar toot jata hai matlb gir jata hai jab k larkay ne bhi istikhara kiya usko koi khuwaab nahi aya albata feelings hui hai sukoon or itminan wali larka bohat acha hy or back ground b acha or larki se shadi krne ki khuwahish bhi zahir ki hai khud us k ghar walay sab raazi hain bus hum is istikharay ko le kr confused hain. Please help and reply.

Khwaab ki ta'beer

Q: Main khwaab main apney mary huwe bhtejy ko dheka us sey galy mila us seybatin ke us pocha kya hal ha us ney batia thek hun khusi sey batia meri koi duty lagi ha woo kam kar raha hun. Megy bola main kaam kar key aya na maloom jaga he. Phir wo kaam kar key ata ha kaly rang key phter ka kafi qemti har mery galy main dala main ney galy main dalta hun tuo qabar dheki deti ha or yeh keh key otr deta hun usy wapes kar deta hun woo ley lita ha or yeh bolta hun key mordy sey koi chez lain tuo banda mar jata pher jag jata hun plz megy es ke tabeer batin.

Halaala

Q: Agar aurat ko 3 talaq ho gayi aur uske baad bhi woh apne sabiq shauhar se humbistar hoti rahi aur 2 saal k baad woh apne sabiq shauhar se nikah karna chahti hai to kya usse halala nikah se pahle iddat karni hogi ya nhi?

Khwaab ki ta'beer

Q: Ma ne khwab ma apni mangni dekhi r hakekat ma ghar waly khty cousin k sath krni ha khwab ma b usi ko dekha apna mangetar lakin wo bad ma inkar krta ha lakin ma angothi b ni utarte r bad ma ma ne dekha k us k liye raita red mirch wala bna k bhejhte hun ma bht upset hun plz mjhy btain ye kia khwab ha