Halaala

Q: Agar aurat ko 3 talaq ho gayi aur uske baad bhi woh apne sabiq shauhar se humbistar hoti rahi aur 2 saal k baad woh apne sabiq shauhar se nikah karna chahti hai to kya usse halala nikah se pahle iddat karni hogi ya nhi?

A: Jab talaaq hogayi to aurat nikaah se nikal gayi. Aur jab nikaah se nikal gayi to agar pehle khaawind ke paas jaana chaahti ho to doosra martabah nikaah karni hogi iddat ke khatam karne ke ba`d. Aur agar doosre khaawind ne talaaq de to uski iddat bhi karni hogi. Tab pehle khaawind ke saath nikaah karna durust hogi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)