urdu

Conditional divorce ko dobaara karne se talaaq dobaara hogi?

Q: Agr koi shohar apni wife per conditional divorce rakhy k agr tm ne kabhi falan kam kia to tmhe mri traf se talaq ho ge or wife wo kam kar le aik talaq ho jaye or ruju bh ho jaye to ab dobara wo kam krme pr talaq to ni ho ge na qk shohar ne "whenever, jab bh" ka alfaz istemal ni kia tha bus ye kaha tha agr kbhi falan kam kro ge to tmhara mra rishta khatm ho jaye ga or tmhe mri taraf se talaq ho ge ye ni kaha tha k jb jb ya jb bh kro tmhe talaq ho ge

Biwi ki pistaan choosna

Q: Agar shohar apni bewi ke pastan choose tu un men se pani nikal kar monh men chala jaye shohar ko pani monh men jane ke bad pata chale wife 4th mont pregnent ho aur dodh na ata ho lakin shohar uske pastan uske bad na choose tu kia nikah khatam ho gaya ya nikah qayam hai.

Haidh ke kuch masle

Q: Mujhe 3 mahine se haidh mn beqaidge ke shikayet hay. Pichle mahine 19 October se namaz shrou ke thee. Dr ne haidh ko regulate krne k liye dawa de jo 24 October se shrou ke or 13 November tk (21days) tk kha k rok dene hay jis k baad haidh shrou hona chaye. Maslah ye hay k 9 Nov ko asr k waqt maine green colour ka pani dekha, phir 12 Nov ke zuhr mn dekha jo bohot he halka peela mehsoos horha tha (agr bohot ziada ghor se dekho). Jb k baqe waqt safaid pani he ataa rha 13 Nov ke rat 10:30 pe phir light green colour ka pani dekha.

1. Kia 9 Nov se haidh shumar kia jayega jb k ye pani musalsal nahin arha tha.

2. Dawa chorne k baad lazmi khon aye ga to kia wo istehaza mn shumar hoga baqe k 10 days nikal k agr waqi 9 Nov se haidh k din shumar karen to?

3. Haidh ka jb se maslah hua hy bar bar wehem hotay hn, aise mn kia krna chaye?

Talaaq ke ba'd rujoo kab tak ho sakta he

Q: Mere shohar nay mjhe aik talaq de di hai phone pe... aur wo dubai chalay gay hen mjse koi rabta nahi hai 3 months se ... mera sawal ha k agar mre shohar nay mjhe nikah ma wapis ni liya na mjse raju kiya hai to kya agar wo aik saal bad atay hen aur raju ka kahtay hrn to phr iss soorat main kaise raju kr sktay hen hamm??? Kya conditions honge jab k pahli talaq ho chuki hai 3 months pahle to raju ka kya tareeqa hoga

Biwi shohar ki baat na maane

Q: Agar koi aurat apne shohar ki baat na maane or apni maan maani kare to kiya karna chahye. Agar ek aurat apne maa baap bhai behan ko apne shohar se ziyada ihamiyat de to kiya karna chaye ya iske ke liye koi dua hai taa kae aurat ko sahe raasta dikaya ja sake shohar ke lac samjaete asa kare to kiya karna chaye.