Talaaq ke ba'd rujoo kab tak ho sakta he

Q: Mere shohar nay mjhe aik talaq de di hai phone pe... aur wo dubai chalay gay hen mjse koi rabta nahi hai 3 months se ... mera sawal ha k agar mre shohar nay mjhe nikah ma wapis ni liya na mjse raju kiya hai to kya agar wo aik saal bad atay hen aur raju ka kahtay hrn to phr iss soorat main kaise raju kr sktay hen hamm??? Kya conditions honge jab k pahli talaq ho chuki hai 3 months pahle to raju ka kya tareeqa hoga

A: Jis waqt se unhone aap ko aik talaaq de di to usy waqt se aap ki iddat shuro hogayee. Ab agar wo rujoo kare iddat ke dawraan me to aap us ke nikaah me rahegi. Iddat ka zamaana teen haiz he talaaq ke bad. Agar wo iddat ke dawraan me rujoo na kare aur iddat ka zamaana (teen haiz) guzar jaai, to aap us ke nikaah se nikal jaaegi. Us ke bad agar tum dono milna chaahe, to eik nayaa nikaah parhaana hoga alag mahar ke saat.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)