urdu

Tezi ke saat baat karna

Q: Agar kisi ka mizaj gussel ho kyuki uske khandan mai baap dada wagerh bhi garam mizaj the lekin akhlak ke ache hai magar kisi se conversation mai haq baat kehne mai alfaz tez niklte ho thoda gusse mai bolte ho to aisa insan kaha tak galat hai ya kaha tak sahi hai or galat hai to is fitrat ko kaise badle ..

Does ruju' take place through the spouses talking?

Q: I want to ask that my husband gave me talaq for one time and we made ruju. But condition were fine between us and I demanded for khula. But my husband gave another talaq. But now he wants to live with me again and I don't want to live with him. And my iddah is not completed. He attempted suicide and I went to talk to him and we are talking for few days. He made request to reconcile again. But has not said that he has taken me back or any thing. I touched him but my intension is still not going back to him or reconcile. Did ruju happen between us? I don't wish to go to him back. I was talking to him just because I can help him to come out from mental stress. Please tell about my situation. Are we in nikaah again or am I still in my iddah?

Ustaad kown hota he?

Q: Ustaad ka islam mai bht bada darja hai to ustaad kise kehte hai jisse roz sikha jae ya jo ek hadis suna de wo ustad hai ya jisse ek masla puch lia jae wo ustad hai for example maine apse ye sawal kia hai to kya ap mere ustaad hai. Dusri baat ustad sirf deen e islaam ka ilm dene wale ko kehte hai ya koi bhi ilm sikhane wale ko.

Khuda Ta'ala par shikaayat karna

Q: Mujhe ek masla malum karna hai ek ladki hai jo apne waalid ki izzat karti hai magar uska waalid uski taraf sakht dil hai or wo ladki job karti hai ghar mai bhi paise deti hai magar uska waalid befikr hai wo kaam nahi karta or waalid 5waqt ka namazi dusro ki madad karne wala tahajjudguzar or haj bhi kia hua h sadqa zakat time pe dene wala islamic rules pe muqammal chalne wala hai magar uski beti ki taraf uska rawaiya thik nhi or uski beti job karti hai phr ghar mai bacho ko tuition deti hai paise ghar mai deti hai jisse uski maa uski shadi ka saman or ghar mai bhi kharch karti hai .. bachpan mai 15 saal ki umar tak bachi ko baap marta bhi tha ab nahi marta magr jb ladki gharpe aati h sham ko mehnat karke thak jati hai to uska waalid usse ghar ke kaam bina taras khae karata hai or kehta hai namaz padho to is rawayye se ladki 23 ki hone ke baad ab keh rahi hai ki allah uske sath galat kar rha hai or aisi aisi baten bol rahi hai to mujhe ye malum karna hai ki ladki ka pareshan hoke aise alfaz nikalna kaisa hai or ye ladki aisi condition mai h ki isko lgta h duniya mai isse zyda koi pareshan nahi ise kisiki sunni bhi nahi hai to ise kaise samjhae iska kya ilaaj ho skta hai or baap se koi baat nahi kar skta kyuki wo kisiki nahi sunta. Please detail mai batae.

Shohar aur biwi ko yaad nahi ke talaaq ke liye konsa alfaaz isti'maal kiya

Q: Mera sawal ye ha k mene aik jagah par parha k conditional divorce k lye lazmi ha k shohar divorce ka words istemal kre... K men divorce de dunga ya divorce hojaegi agr ye hua... Agr ye na kaha jaye blke koi indirect bat kahi jaye k phr talluk khtm... Ya men talluk tod dunga... Awwal tu mjhe alfaz yaad nhn ha mufti sahab bus itna confirm ha k divorce ka word shohar ne use nhn kya... Mne kaha k agr ap ne aisa kya tu its over... tu uspr kaha k same here AGAR tum ne falana bat boli dobara tu..... Or baki words yaad nhn iske elawa... Mene js bat k lye mana kya tha vo alag bat ha mufti sahab or same here unhu ne dosri bat k lye kaha jo mjhe smjh me aya.... Or dosri baat aik hi flow me boli the.... Break nhn dya tha par akhir me kya bola ye nhn yaad bilkul b k khtam krdenge talluk ya warning the mjhe kuch b yaad nhn mufti sahab.... mere shohar tu siray se inkar kar rhe hen k unhu ne aisa kuch kaha ya chodne ki bat ki... Unhu ne bus ye kaha k ye baat mat bolna bus... Mjhe srf itna lgta ha k unhu ne mjhe darane k lye ye kaha jo b kaha tha.. Kya men ignore krdun is bat ko bilkul se?? Or agr koi aisa kaam hojaye jis se mana kya ho jiska pata hi na ho k ye us zamray me hoga tu usse kuch hota tu nhn... Galti ya bhool chook se aisi bat ho... Mufti shb men bht pareshan hun k aya keh pehli bat k lye same here kaha ya bd wali baat k lye jo baad me kahi unhu ne... Or donu hi kaam alag alag baten hen... Shohar tu kehte hen mjhe nhn yaad k mne kya alfaz kahe... Akhir k jumlay mjhe b nhn yaad... Meri Madad farmayen

Showhar biwi ku ye kehna "main tujhe talaq dedonga"

Q: Mere husband drink karte hain. Unhone raat bhar bahir drink ki subah mujhe call ki larae ki bila wajah ki bat pe bht ghalat baten ki phr 3 bar kaha k main tujhe talaq dedonga to kya talaq hogae? Main bht pareshan hn plz madad karen meri jb mere shohar ghar ae a k sogae phr uth k kehne lage k maine sirf kaha tha dedonga di nhi thi to koi talaq nhi hui ap madad karen plz.

Har cheez ki qadar karna

Q: Mujha pata ha mana bohat likh dia lakin ma kisi sa apna masla khol ka share chata tha Ma ap ka jawab ka muntazar ho

Mari walida ko aj sa 13/14 sal pahla cancer ho gaya jin ka ilaj bhi karwaya aor aon ko sahat bhi mili lakin koch wajohat ki wajha sa ham ragula chack up ya falow up na karwa saka (aos waqat ma 6 sal ka ab ma 18 ka ho) Jis wajha sa 4 sal pahla dobara cancer ho gaya hum na phir ila karwaya lakin cancer 1 jagha sa khatam hota to dosri jagha nikal ata phir hum na kisi alim sa rabta kia (aos waqat mara jado wagara pa yaqin na tha aor ghar walo ko bhi nahi tha) khar aonho na huma bataya ka koi jado karta ha mari walida pa hum na aon sa dum karwaya to arazi tor pa aram ajata lakin jab jado dobara hota to phir tabyat kharab ho jati ilaj aor dum ka silsala chlta raha aon alim ka intaqal ho gaya to hum na kisi aor sa rabta kia phir kisi aor alim sa aor phir kisi aor sab ka yahi kahna tha jado ha lakin ab is jado ka masla par koch kami i ha lakin wo shaks jo jado kar raha ha wo apni pori koshish kar raha ha Ap janta ho ga ka cancer ka ilaj bohat mangha ha laki Allah na huma waha waha ata kia ha jaha hmari soch bhi na thi lakin mukamal sahat na di mari walda bhot kamzor ho gai han aj sa phala jitna bhi waqt gozra asihalat nahi hoi is ka sath wo bohat mauos bhi ho gai han wo jina to chati ha lakin dard aor bimari ka is tawil arsa ki wajha sa moot ki talab karti ha

Ma aor mara gahar wala Allah sa har tarha sa dua kar choka han bohat wazifa kia han lakin mukaml sahat nahi mil rahi Mari halat bohat bori ho choki ha ma bohat mauos ho Allah sa mangna bhi chor dia mujha pata ha ya galat ha lakin.! Hum sadka bhi karta han aor zaqat bhi kisi ki madad ho to apni aokat ka mutabik madad bhi karata Ap batyan mari walda kya sahat ki mustahiq nahi aonho sari zindagi taqlif ma bita di kya aon ko apni aolad ki koshya dakhana ka koi haq nahi mujha pata ha akhrat ma aon ka lia bohat acha ha lakin jis aolad ka lia wo zinda rahi bimari ka ba wajod har zarorat pori ki kya aon ki koshya dakhna ka aon ko koi haq nahi Hum kis tarha Allah sa manga Allah kahata mara ajzi mango ma do ga to huma kyo nahi data Mujha pata ha mana bohat likh dia lakin ma kisi sa apna masla khol ka batana chata tha Ma ap ka jawab ka muntazar ho