urdu

Peshaab ke qatre

Q: Jab peshaab karke me baahar aata hu to lagta he thora sa peshaab unadarooni karpro me hi ho gaya. Haalake me sahi se poora peshaab karke uthta hu phir bhi ho jaata he. Kya me napaak ho jaata hu? Kya mujhe nahaane ki zaroorat he?

Pareshani ka hal

Q: Maien 50 saal se namaz parne ki koshish krta hoon per haar jaata hoon. Tarah tarah ki musibaten ho jatin hain aur namaz choot jati hai. Ghar me maar peet, jhagre, bimariyan, barbaadiyan hain. Ek larka hai jo 2 saal ki umar se aaj 37 saal ki umar ho gayi bimaar hai. Rizq nahi muhtaji hai betiyon ki shaadi nahi ho rahi. Koi bhi kaam kharaab ho jata hai. Kai wazifa istemaal kiya per ulta asar hota hai. Kisi ne shayad bad dua di hai. kaise sab thek hoga?

Company me invest karna

Q: Ek investment company he jisme invest karne se monthly 10 to 17 percent benefit milega invest kiye huve main amount ke hisab se. Masĺam mene 50,000 invest kiya to muje 10 percent ya 17 percent monthly munafa milega 50,000 ko chodke. Wo keh rahe he ke ye sood ka paisa nahi he, ye halal ka paisa he, wo kehte he ki company halal business karti he, jo benefit milta he wo investors ko 10 to 17 percent ke hisab se munafa deti he. Ab mera sawal sirf itna he, agar wo company wale jhoot bolke hame halal ke bajaye haraam ka paisa dete he to, ye paisa mere liye halal rahega ya haram?

Peshaab ke qatre kapre se dhona

Q: Me jab bhi Hindustaani baitul khala istimaal karta ho to istinjaa karte waqt baitul khala me girne wale paani ke chand qatray ur kar maqad ke dono taraf par jate he. Kya ye paani ke qatre najaasat-e-ghaleeza he ya najasat-e-khafeefa aur en ko dhona zarori he ya ne dhoye to shariat me maaf he. Har baar Istinja karte waqt mujhe baar baar baitul khala se paani ke qatre ur kar parne ka shak parta he. Jis ke wajah se aadha aadha ghanta istinja kartay huwe lag jata he. Baar baar en qatron ko dhota hoon phir paaki ka yaqeen nahi hota.

Qasam torna

Q: Mera sawal ye hai k 4 saal pehle mje aik larke ne kaha tha k wo mje pasand karta hai, mere sath class me parta tha, wo mujhse baat karna chahta tha.. Pasand to mje b wo tha par me aese larkon se baat karna us waqt sahi nh samajhti thi mje ye maloom tha k Allah ko naraz kiya to wese hi kuch nh milna..agar uski maan li to uski rehmat se umeed hai k nawaz de ga...mene usey kaha k khuda ki qasam me apse 3 saal baad baat karungi...usne itna kaha tha k me intezar karonga... Me medical k frst year me thi tub mene ye souch k qasam khayi thi k 3 saal baad me apne maa baap se iske barey me baat karungi to achi b lagon gi...lekin usko yehi kaha tha k me 3 saal baad apse baat karungi.. 2 saal guzar gaye uska koi ata pata na tha, achanak mene usko aik jaga dekha usne darhi rakhi hui thi phr pata laga tableegh me lag gya tha...aas paas k logon se uski bari naik naami suni... Phr Allah ne mje hidayat di, haram halaal ka farq samajh aya..3 saal guzar gaye...wada pora karne

Trading website

Q: Humara Websites, Mobile Applications or computer Softwares ka kaam hay Lahore mai. Hum ik website banana chah ry hain jis par log trading k zariye crypto-currency, digital currency aur US Dollar kharid b sakengay aur baich b sakengay aur hum is saray kaam k bich mai jo commission hogi wo rakhengay. Ab wo commission humari Bitcoin bhi ho sakti hay aur US Dollar bhi, lekin hum apni commission ko har roz ya phir dosray din market mai bech kar Pakistani Rupay mai convert karwa lengay. Bitcoin na to humne rakhna hay, aur na he us se kuch khareedna hay.

Humara zariya-e-muaash yehi hay (filhaal), humaray pas kabi kaam ajata hay, kabi nai bhi ata. Koi regular income nai hay humari, jiska hume pata ho k haan har mahinay hume itnay pesay ajaingay. Humara kaam tha bohat urooj par Customer Service ka (bahar ki bari bari companies k sath hum kaam kartay thay) 2014 tak, lekin wo khatam ho gya aur humain lakhon rupay ka nuksan hua, aur uske baad aj tak hum sar nai utha paye. Hum umar k us hisay (36 saal) mai hain ab k humse nokri nai hogi, na he koi hume rakhega. Isliay humne socha hay k hum ye website bana letay hain jider se hum commission k tor par pesay kama lengay takay humaray ghar chaltay rahain. Kya humaray liay ye website banana aur is se earning karna jaiz hay?