Q: Maien 50 saal se namaz parne ki koshish krta hoon per haar jaata hoon. Tarah tarah ki musibaten ho jatin hain aur namaz choot jati hai. Ghar me maar peet, jhagre, bimariyan, barbaadiyan hain. Ek larka hai jo 2 saal ki umar se aaj 37 saal ki umar ho gayi bimaar hai. Rizq nahi muhtaji hai betiyon ki shaadi nahi ho rahi. Koi bhi kaam kharaab ho jata hai. Kai wazifa istemaal kiya per ulta asar hota hai. Kisi ne shayad bad dua di hai. kaise sab thek hoga?
A: Har pareshaani ka hal Allah ke haat me he. Agar banda apne zindagi ku Allah ke marziyaat ke mutaabiq banai owr sunnat wali zindagi guzaar de to Allah Ta'ala us ke pareshaani dowr karenge, us ku kush rakenge owr har qisam ke taraqqi se maala maal farmaienge.
Deen me Imaan ke ba'd tamaam faraaidh owr ibaadaat me se namaaz ku sab se ziyaada ahammiyyat di gai he. Namaaz ka maqaam nihaayat buland he. Hadith Shareef me aaya ke Qiyaamat ke rowz sab se pehla sawaal namaaz ke baare me hoga. Agar banda is me kaamiyaab huwa, to ummeed he ke Deen ke dowsri cheezo me bhi wo kamiyaab hojaega. Owr agar wo is me nakaam huwa, to dowsre cheezo me nakaam hoga.
Namaaz ku chowrna ya qadha karna haraam he. Bohot bara gunaah he. Sakht waeede Hadith Shareef me waarid huwi he us aadmi ke lia jo apni namaaz ku qadha kare. Fuqaha ne likha ke agar koi shakhs bimaar he owr khare hokar namaaz parhne par qaadir ne ho, to wo beth kar parhe, owr agar wo bethne par qaadir ne ho, to wo leth kar ishaarah ke saat namaaz parhe. Gardh ye ke, kisi bhi haalat me namaaz qadha karna jaaiz nahi he. Aap sache dil se Allah Ta'ala se tawbah kare guzishta saalo ki namaaz chowrne ki wajah se owr pukhta azam kare ke aainda aap koi namaaz qadha nahi karenge. Issy tarah guzishta saalo ki fout shuda namaazo ki qadha bhi kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: