urdu

Premarital relationship

Q: Mujhse zina ka gunah hogaya hai... main 21 saal ki ladki hoon, mere ek cousin ke saath mujhse kai baar zina hua hai... main muhabbat me yeh gunah karti chali gayi, lekin mujhe yeh ehsaas hogaya ki yeh sab ghalat hai... mujhe unse aur unhe mujhse nikah karna hai, unhone mere ghar pe rishta bhi de diya hai... lekin mere gharwale raazi nahi hain... maine bohot koshish ki magar raazi nahi ho rahe... aur main un dono ko sach bhi nahi bata sakti... aur wo log meri kahin aur shadi karna chah rahe hain jisse ki meri zindagi barbaad hojayegi... maine Allah se bohot maafi maangi aur mangti hoon... aur mujhe nikah us cousin se hi karna hai... kya main istekhara karke positive signs aaye to apne maa baap se kehdu ki maine Allah ki marzi jaan li hai... ab aap log bhi maan jayein... yehi ek raasta dikh rha hai ab kyuki Allah ka naam aane se wo log zaroor maanenge... Lekin bas dar is baat ka hai ki kahin negative signs aagae to... Ab to sirf pasand nahi meri majburi bhi hai us aadmi se nikah karna... iska kya hal ho sakta hai? maine Allah se bohot tauba karli hai ab kuch samajh me nahi aa raha kaise apne ma baap ko raazi karun... un dono yeh rishta bilkul bhi nahi pasand magar ab yeh meri majburi hai...

Pehle khawind ghaaib hone ke ba'd waapas aana

Q: Mujhy aik nihayat aham masly pr ab sy baat krni hae. darasal mery aik nahayt aziz hain, un ki walida or walid ka nikah 30 saal pehly hua tha. un k walid army main thy or shadi k theek 15 saal bad un k walid jang main chaly gye... lekin loat kr na aye. 5 saal tak wait krny k bad kyun k un k walid ki koi khabar na thi... un ki walida ny doosri shadi krdi.. lekin rihaysh apni olad k sath he rakhi... is dosri shadi k taqreeban aik sal bad un k pehly shohar wapis agye jo k jang main qaid kr diye gye thy. ab is hal main islam ki taleemat k mutabiq hamain agah karian. or agar woh dono phir sy aik hona chahty hain to us ka koi hal batain

Musaafir ayk sheher me do jaga rehna

Q: Me Lahore main kaam karta hu aur Lahore me hi hukoomat ki taraf se diye huwe ghar me rehta hu. Meri waalida kuch din ke liye mere paas rehne aai he. Wo aat din mere paas rahi phir mere dusea bhaai ke paas isi sheher me aat din rahi phir mere paas aagayi he. Ab un ka iraada che din mazeed mere paas rehne ka he. Phir waapas gaon chali jaengi. Ab yahan wo poori namaaz ada karegi ya qasar namaaz ada karegi?