urdu

Mazi nikalne se wudhu toot jaata he

Q: Baat ye he ke kuch mahine pehle meri shaadi huwi he or me ab waapas Sharjah aagaya hu mera masla ye he ke ab me apni biwi se baat karta ho to nafs me tanaao ke sath kuch der bad thora sa paani nikal ata he me is masle se bohat perashaan hu kyunke ke me namaaz parna chahta ho baraaye meherbaani muje ye bataye ye kiya he or kiya ye napaki or najs he or is haalat me namaaz parne ka kiya hukam he or namaz parne ke liye kiya kya jasakta he?

Hadith par amal karna

Q: Mere walid saheb sa ek baar ek baat ho rahi thi kisi ne unho ko kaha k bilkul hadees par amal karna chahiya aur Quran par bhi laikin hadees main koi galti bhi ho sakti h laikin main na foran un ki islah ki aur kaha ka tamaam hadees theek hn aur un ko hadees par program bhi dikhaya ab pta nahi unho na ya bt mouzoo hadeees ka hawale sa ki thi ya shayad un ka zahen main zaeef hadees ka ek allag ki concept tha laikin unho na ma'aazallah inkar nahi kia hadees ka but shayad jahalat aur deen sa doori ki waja sa aesa kaha main na un ki islah kar di thi is sare masla par kya hukm hoga

Namaaz ke liye kurta phenna

Q: Mera ek sawaal ye he ke mujhe bachpan se aramdeh kapre pehenne ki aadat he or agar me kurta pajama ya jeans waghairah kuch pehenta hu to mujhe garmi lagti he or khaarish bhi hoti he. Ziyaada tar me aadhi aasteen waali cotton ki T-shirt aur cotton izaar pehnta hu to kya mere liye ye zaroori he ke namaz ke waqt ya waise bhi kurta pajaama pehnu.

Qurbaani ka nisaab

Q:

1. Aesy kapray or jotay jo anay janay ya shadi wghera pa pehnay walay hotay hn kia wo bhi qurbani k nisab ma shamil h?

2. Kia artificial jewellery churrian bhi qurbani k nisab ma shamil h?

3. Kia extra writing pads diaries copies bhi qurbani k nisab ma shamil h?

4. Kia zakat masjid ki tameer ma da sktaya hn?

5. Is tarah or jo masjid k box ma zakat di jaye ya kisi k zariye di jaye to us ma ye nahi kaha jata k ap ko malik bnaya kiu k samnay koi mojood nahi hota to kia istarha zakat ada ho jati h