urdu

Marital problems

Q: Meri shadi ko 2 saal hogye hn or mera ak beta hai ak saal ka. Mere shohar shadi se phele hi ak shia ladki se milte the 10 saal se us se talluk rakha huwa hai. Parents ki zabardsti se mujhse shadi to karli lakin ab wo mujhse koi talluk nhi rkhte. Wo larki unko force krhy hai k mujhe chohr de wo. Lakin apne parents k dar se wo mujhe nhi chohrte. Mre susral wale b unko kuch nhi kehte q k wo unse b battamizi krte hn. Mujhe mera koi haq nhi dete. Or us larki se har tarhan ka relation rakha hua hai. Mujhe bataen k me kia karon. Kia me apne shohar ko chohr don?

Bheek maangne wale ko kuch dena

Q: Kuch log jo beggars hty hn wo ghar k darwazy py bheek manty hen, un mn say bht say sehtmand hoty hen kuch burhy hoty hn ar kbi bchy bhe... Bht say log kehty hn k jo mazuur hon ya old hon sirf unhn bheek deni chahye... Hmny yh b suna hy k Nabi Pak (sallallahu alaihi wasallam)  k dar s koi khali haath ni jata ta... Ap mjy plz btaen kay jab Nabi Pak (sallallahu alaihi wasallam) kay dar say koi zrurt mand khali ni jata ta to ham kon hoty hn unki sunnat ke perwi na krny waly? Kia Nabi Pak (sallallahu alaihi wasallam) b asy e differentiate krty ty k koi mazur hona chahye ya old?