urdu

Khwaab

Q: Main ne apni shaadi ke liy istekhara kya. Pehle mujhy dekha ki main kisi safaid chiz ko saf karrahi ho. Jab ki wo kafi safad hai. Dusri bar dekhai diya ki darya ko dekhrahi ho pass se or phir kisi nal se pani pi rahi ho or wo bhut saf or meetha hai.

Khwaab me chooha dekhna

Q: Me ny khwaab dekha ke chohay ny mery kameez ka daaman kat diya hai or boht zada kat diya Es sy 1 din pehly khawab mn dekha k aik safeed khargoosh bemar hota hai or wo bhag k mery pas aata hai or baith jata hai. Mn osy pyar krta hu. Osy chezain khilata hu or wo thek ho jata hai. Kindly mujhy in donu khawabon ki tabeer bataen.

Zakaat aur qarz

Q:

1. Jis par zakat wajib ho or us pa qarz bhi ho to kia us par zakat wajib nahi? Kia wo pahlay qarz ada karay ga or phir pasay ho to zakat ada karay ga?

2. Jis ka pas raqam ho or wo qarz k tor pa di ho kisi ko to kia wo raqam bhi nisab ma sahmil hogi us ki bhi zakat deni ho gi?

Khwaab

Q: Mein ne khawab mein dekha hai k mere chehry aur ser per kaly rang ki khaal a rahi hai. Aur mein usy utarta hun lakin wo bar bar a jati hai ser ya chehry pe. Aur muj per khaof tari ho jata hai apni is halat pe. Brae mehrbani muje is ki tabeer bataien aur meri rehanumai krien. Jazak Allah

Zakaat ka hisaab

Q:

1. Meray pas 1 tola sona or 15000 ko to 2 saal ho chuka jis pa zakat wajib h lakin in 2 saalo ma se aik pichaly saal se is mahinay tak muja eid or pocket money milti rahi h jo ma jama karti rahi hun jo taqriben ab 35000 ho gaye hn or isi saal ma aik gold ki ring bhi li h jo 10000 ki h in ko to abhi aik saal nahi hua lakin aik saal se jama kar rahi hun kia in par bhi zakat h agar h to kesy hisab lagaya jaye muja samj nahi arahi?

2. Or jab inko saal ho ga or in ka saal mukam honay tak jo or pasay jama ho ga to in ka kesay hisab lagay jaya ga zakat ka liye?

3. Or muja islami mahina to yad nahi to kia angraizi mah k hisab se zakat da dun kia ada ho jaye gi.

Jannat me jaane ki koshish karna

Q: Mera question nikaah ke baray ma ha. Agr koi larki kisi ko pasand krti ho lakn us larky ki death ho jaye un ka nikah na howa ho abi lakn larki fr b usy he pasand krti ho owr Allah se dua kry k wo us ka nikah jannat ma us larky sy krwa dain to kya ye dua krna jaiz ha? Kya Allah jannat ma us ki ye dua qabool krain gy us ki mrzi sy nikah krwa dain gy agr duniya ma wo Allah ki raza r apny parents ki khushi k liye kse r sy nikah kr b ly apny nafs py control kr k sabar kr k to kya Allah usy jannat ma hmesha ki life ma us ka nikah us sy krwa dain gy jisy wo pasand krti ha?

Khwaab

س: "اُحد کے پہاڑ کے پاس دائیں طرف کھڑا ہوا ھوں۔ شام اور رات کی ملی جُلی کیفیت والا وقت ہے۔ آنحضرت محمد صلی اللہ و علیہ وسلم پہاڑ کے بائیں طرف سے تشریف لاتے ہیں۔ مگر میں اُن صلی اللہ و علیہ وسلم کو صحیح طور پر دیکھ نہیں پایا۔ اتنی دیر میں آپ صلی اللہ و علیہ وسلم فرماتے ھیں کہ *پہاڑ کو پتھر نہ مارو* "