urdu

Khwaab

Q: Mene khwab me dakha h mera bhai jo mujh se bara h Mere ammi ne kaha k is se ap ka nikkah huwa wa h bachpan se ye ap k sohar h mera boht dill ghabraya phr mujhy wo kamra me le k gaya or sb kuch kra mere sath . Phr mene apni shadi shuda bahan se pucha khuwab me he k mera is se bachpan me nikkah hua tha kya to us ne kaha nhi ammi ghalat kah rahe hain aise koi bat nhi h Ye khuwab mene subha so k uthna se phala dakha tha me jb se boht pareshan hun

SMS ke zarye se talaaq

Q: Me nay ak bat cnfrm krni h keh kisi ghlt fehmi ki vja say meray husband nay mjhay sms krdya q k m nay onki call receive nae ki thi.mjhay sms kia k tn aj k bad farigh h baki teri mrzi bchon ko m lay jaon ga ya kisi k hath bulwalon gameri trf say tn farigh h ...........is k bad ak or sms aya k tn pehlay din say ye hi chahti thi jateri khwahish pori ki enjoy kr ..........ab os k baad bat b nae suntay or call b receive nae krtay to m kia smjhon kia sms p send kray gaey in alfaz ki koi ahmyat hai ya nae plz btaen m bht preshan hm or bchon ko b fn p onhon nay kaha k m tm logon ko lay jaon ga or mama ko nae.m ammi k ghr thi jb sms aey.......plz rehnumae kren.

Business me jhoot bholne se ziada paise milna

Q: Mera sawal ye hy k apnay business main apni country ghalat batanay se kia rozi haram hogi.. ya gunah hoga? kitna..? Is ghalat btanay se kisi ko nuqsan b nai hoga, na hi hm kisi ko dhoka detay hain... bs hmary pas log wo ayen gay jo ziada paisay detay hain...

In detail:

Main aik freelancer hon. Website designing or graphic designing krta hon. Online hamary mukhtalif mulkon k clients atay hain. Pakistan ki market buht down ho chuki hay... Uski do main wajoohat hain.

1. Logon ko kam nai ata pr lalach main kehtay hain k hmain ata hy or clients ki websites main cheezain khrab kr detay hain. Is wajah se bahr k logon ka Pakistanio pr trust nai hay...

2. Yahan k kch log jin k pas clients thoray atay hain wo ziada kaam buht km paison main kr daitay hain...

Ab mera aik dost hay, hm ikathay kam krty hain... or mujhay us se ziada kaam ata hay... main uska teacher hon is kaam main, jo kam wo nai kr skta wo usay main kr k deta hon... us ki profile UK ki bni hui hy. Wahan pr jo log atay hain, wo paisay ziada detay hain. Meri profile Pakistan ki hay. Meray pas wohi log atay jo paisay buht kam daina chahtay hon. Q k USA, UK k freelancers ziada paisay laitay hain, is lye wo Pakistanio se buht km paisay main kam karanay atay hain. Jo ziada paison wala client hota hy, wo Pakistanio pr aitbaar hi nai krta... Ab halan k mjhy apnay dost se ziada kaam ata hy, pr uski kamai meray say 4 guna ziada hay... Ab is soorat me main kia kron..? Q k meray mulk ghalat batanay se client ka koi nuqsan to nai hoga.. Ab ye rozi haram hy? ya sirf gunah hy... kitna gunah hay..?

Bool se asar ki namaaz beghair ghusal se parhna

Q: Me soyi huwi thi to mujhe jinsi khwaab aya meri aankh khul gayi lekin mein ne geelapan mahsoos nahi kya aur dobaara so gayi jab dobaara meri aankh khuli to me ne geelapan mahsoos kya mujhe khwaab yad nahi tha me is geelepan ko mamool ka discharge sumjhi kyoonke me safed dischaarj ki mareez hu to me ne is ko mamool ka discharge sumjate huwe asr ki namaaz ada kar li lekin jase hi me namaaz se faarig huwi mujhe khwaab yad aa gaya baqi ki namaze mein ne ghusal ker ke ada ki. Mujhe bataye jo me ne baghair ghusal namaaz adaa ki us se mujhe gunaah to nahi ho ga aur us ka asar mere Imaan aur nikaah par to nahi ho ga aur us ka kuffaara kya he?

Eidi aur pocket money par zakaat?

Q: Manay parha h k zakat wajib honi aik aik shart nisaab ka maal e naami hona h jo maal ka barhna h mera maal to istarah barha h k muja eidi or poket mony milti h or jo koi mahaman da k jaye us se pasay jama hotay hn to kia is tarhan barhany waly maal pa zakat wajib ho ga ma khud to kaamti nahi hun na hi tijarat karti hun?