dream

Khwaab

Q: Mai 22 sal ki larki hoon or meri abi tak shadi nahi hoi hai or mai dubai mai rehti hoon or meri 2 badi behne hain jinkee shadee ho gai hai pakistan ke kisi gaon mai jaha vo log khush nahi hain kiyonki 10 sal se vo log ami se nahi mile hain kiyon ki mere abu nahi jane dete ami ko onse milne dua karna allah onhe mila de or meri ami bahut bimar hai dua karna Allah onhe theek kare jo la ilaj hai plzz dua karna...or meri ami ne khwab mai dekha tha maine yellow color ke khubsoorat chuppal pehne hain iska tabeer kee jiye plzzz ..jazakallah

Khwaab

Q: Mera doubt ye hi Ke my bahut dinon se istikhara kar rahi hu apni marriage Ke liye lekin jab me istikhara ki niyyat kar Ke raat me sothihu tho mujhe kuch khwab nahi ate lekin phir subah uthkar roza rakhne keliye sehri kar Ke namaz Ke baad sothihu tho khwab ate hi Kya my in khwabon ko istikhara Ke result samjhu. ya phir ye kuch aur hi. aur Mera khwab ye hi Ke my aur Meri didi aur jeeju saath kahi jaarahe the raasthe me hamne kahi bhaitna chaha tho hamare jeeju yeh keh kar Mana kardiye Ke yaha bahuth log hi gents yaha nahi chalo kuch aur jagah bhaitenge.phir unhone Jo jagah hame bhaitne ke liye kaha vaha ek bhais Tha jise dekh kar my dar rahi thi lekin unke kehne par my darthi huyi vaha jaakar bhait gayi.iski taabir Kya hi batadijiye pls. Mera aur ek sawal Jo hi aap se Ke agar aurat jab kisiko pasand nahi karti phir bhi apni maa baap ki khushi Ke liye aur aur unse kuch kehne ki himmat nahi rakhti isliye shaadi karle. aur apne shohar se kuch galat bartaav tho nahi karti lekin Dil me unke liye pyaar nahi aur khush nahi tho Kya ye galath hi aur Allah ko pasand nahi ayega ye sab.aur Kya gunehgaar hogi.

Dream

Q: I was doing istikhara for marriage in my dream I saw my father gave money to my mother and told to go and buy fruits then me and my mother was going to buy then we saw some coconuts are there in Bazar but we didn't take them and then my father also came with us to search we were going on road then in the middle my uncle( my father's brother) came and said where are you going you have crossed that shop it was nearer . what could me the meaning of this. ( iam doing istikhara for the person who is near to our house ) is it positive or negative.

Khwaab

Q: Maine kuch arse pehle khud ko bathroom mai namaz parhta dekha and sajde k wakt qibla change hotay dekha hai. mai bht pareshan hn

Khwaab

Q: Mai nai khwab mai dekha kai tez baarish horhi hai aur mai khirki sai bahir ek jahaz ko urta hua dekh rhi hoon aur achanak woh bhaut zor sai gir gaya kai zameeb hil gayi. lekin mai aur meri family hifazat sai apny ghr par gai.plz mujhy jld sai jld bataye iski tabeer.

Khwaab

س: ميں نے اپنی والدہ کو زخمی حالت ميں ديکها میرے ماموں نے خواب ميں ان کو زخمی کيا۔ براۓ مہربانی تعبيربتا ديں

Khwaab

Q: Mainay apsay guzashta roz pehlay khuwab ka zikar Kia Tha k ik larki jisay shadi karna chahta Tha or usay khuwab mein bat hui. Aj phir wo khuwab mein ai humlog ghoom phir rahay h achay mahool mein bat horahi h. Halanky mein tauba karchuka ho. Mein pareshan ho taqreeban Roz aisay khuwab arahy hai. Ik or khuwab dekha hai jismai ik nihayat lamba chaura shaks safeed chamktay huay libas ma ata h or ma usay Salam karta ho galay milta ho or wo Mera hath pakarta h or hum dono ik Mahal k andar dakhil hotay h jiskay Bahar bht bara sarsabz baad h kafi bara lawn hai or bht sarsabz usky andar bht bara Mahal h or Mahal k andar Sy log mjhy dekhrahy h. Or jaisay hi wo shaks Mera hath pakar k chalnay lagta h to mein ik bharipan mahsoos karta ho jaisy koi taqat andar ghus gai hai.

Khwaab

Q: Meri cousin nay aik khwab m dekha k sufaid color ka bakra numa janwar hay jis ka aik seeng hay us ko log paisay day lay us ki numaish kar rahay hain yani logon ko dekha rahay hain woh bhi dekh kar aati hay Jab ghar phunchti hay tu woh janwar us kay peechay ghar aajata hay us janwar ko meri cousin kay sath muhabat ho jati hay woh US Kay sath lipat kay rota hay magar meri cousin us ko malikon kay hawalay kardeti hay Ab woh pareshan hay mufti is ka MATLAB bata dain thnx