Witr, Sunnat aur Nawaafil

Nafil namaaz ku chowrna

Q: Aksar lowg farz namaaz me jo nafil rakaat hoti he wo nahi parhte matlab jeyse maghrib ki namaaz me saat rakaat hoti he jin me do nafil hoti he magar mere kuch dowst ahbaab sirf paanch rakaat parhte he, do nafil chor dete he. Is baare me kya hukum he? Kya nafil chor sakte he?

Witr ki namaaz

Q: Witr ki namaaz adaa karne ke liye kya din ki paanch namaazo ka adaa karna zaroori he ya agar din ki paanch namaazo me se koi namaaz choot gayi ho to hum witr ki namaaz padh sakte he?

Tarteeb ke khilaaf namaaz parhna

Q: Kabhi kabhi namaaz parhte waqt aysa hota he ke meri tabiyat kharaab hoti he to phir me sunnat aur nawaafil chor ke farz parhti hu. Lekin baaz owqaat fardh aur witar ke bad jab tabiyat kuch achcha mahsoos hota he to kya me aakhir me sunnat ya nafil waghaira parh sakti hu? Ya phir tarteeb ke khilaaf parhne se gunaah hoga?

Nafil namaaz

Q: Kya fardh namaazo ke saat nafil parhna laazmi he ya chorh sakte he? Ya phir parhne ka sawaab he aur na parhne ka koi gunaah nahi aur namaaz qubool hoti he?

Salaatul Haajat

Q: Huzaifa (Radiyallahu Anhu) se riwayat he ke jab Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) ku koi amar paish aata to Aap namaz parhte is ke liye Aap 2 ya 4 rakaat namaz parhte pehli rakaat ma Surah Fatiha ke bad 3 martaba Ayat ul Kursi parhte baki 3 rakaato ma Surah Fatiha ke bad Surah Ikhlas Surah Falaq or Surah Naas ek ek martaba parhte. Mashaikh se saabit he ke humne ye namaz parhi or hamari haajaten poori huwi. Ye hadees me ne kahi parhi he. Aapse poochna chahti hu ye hadees saheeh he? Kya hum namaz e hasjat is tarsh parh sakte he?

Witr namaaz

Q: Muje aap se witr ke baare me poochna he ke ayk witr parha jaa sakta he? Aur is ke parhne ka kya tareeka ho ga? Aur dua-e-qanoot kab parhi jayegi?