Qadha Namaaz

Qadha me mahaz fardh aur witr ko adaa kya jaaye

Q: Allah pak or akhriat ka khoaf rakhtey hoye me 16 saal ki namazain kaza krna chahta hon. Asa nahe ha ke 16 saalon me koi namaz ada nahe ki leken aksar okaat namaz reh jati thi es waja se ehtiyat ke toar per mein mukaml 16 saal ki namazain Kaza krna chahh raha hon. Apse puchna tha ke ye tamam Kaza namazain تخفیف wale tareeky se ada krlain ya mukml namaz jase ada krte hain wese kaza krain? Mazeed ye bhi farmaiye ga ke kaza namaz uss din ki ada namaz se phle ya baad me parhni chahye?

Waajibul iaada namaaz ki niyyat

Q:

1. Waajibul iaada namaz ki niyyat kis tarah hoti ha? Kiya is me qaza ki niyyat karte h?

2. Agar Zaid pehle kabhi kabhi namaz parhta ho aur jo namaze parhe wo bhi pehle masaail maloom na hone ki wajah se baaz durust aa rahe aur baaz karahat ke saath. Ab wo sab namaze dobara parhna chahta he lekin qaza ada aur wajibul iaada ki tadaad ka ilm nahi. Zaid kis niyyat se namaz parhe ke sab(qaza, wajibul iaada) sab adaa ho jaaye. Koi mushtaraka niyyat dono ho tu zaroor bataaye.

3. Agar Zaid saahib-e-tarteeb banane ke liye ab tak ki kul namaze qaza ki niyyat se parh le ke usse yaqeen haasil ho jaaye ke ab us ke zimme koi qaza namaz nahi aur wo saahib-e-tarteeb ban gaya to kiya ye amal durust he? Agar haa tu agar kuch qaza namaze zaaid ho jaaye tu un ka kiya hukum ho ga? Kiya wo nafl ho jaayengi?

4. Zaid ko nahi maloom ke safar ki haalat me kitni namaze qaza huwi tu agar Zaid sab namaze puri parh le tu kiya qaza ada ho jaayengi? Zaid is surat me kiya kare?

Adaa huwi namaazo ki qadha karna

Q: Mere baligh hone se ab tak kul namazo ki tadaad 2774 he. In me qaza bhi he. Wo adaa bhi he jo mene ilm na hone ki waja se ghalatiyo ke sath ya jaldi jaldi adaa ki. Aur wo adaa bhi he jo mene durust parhe. Lekin kissi ki bhi tadaad ka ilm nahi ke kitni qaza he kitni nuqsan aur karahat ke sath ada kin aur kitni durust adaa kin. Main iss liye kul namazain 2774 parhna chahta hu.

1. Me kul namaze kis niyat se parhu ke sab adaa ho jaye. Mere ilm ke mutabiq agar me sab me qaza ki niyyat se parhu to jo adaa namaze mene ghalatiyo ke sath ya jaldi jaldi parhi wo reh jaaye gi.

2. Mene ek mufti sahab se suna tha k qaza namaze kaam na hon beshak ziyada ho jaaye ke baaqi nafl ho jaaye gi. 

Adaa huwi namaazo ko dobarah parhna

Q: Meri umar 19 saal he. Me baaligh hone se ab tak ki tamaam namaze parhna chahta hu. In me qaza namaze bhi he aur adaa bhi he. Me qaza namazo ke saath adaa namaze bhi durust karna chahta hu.

Mera sawal ye he ke jo adaa namaze me durust karna chahta hu kiya un ko bhi qaza ki niyyat se parhu? Agar nahi to is ki kiya niyyat hogi?