Mutafarriqaat

OCD

Q:

1. Mujhe lagbhag chaar saal se OCD ki problem hai. Shuruwaat mein toh mai toh bilkul pagal jaise hogyi thi lekin Allhamdulillah abhi theek hun . Mujhe bohat waswase aaten hai lekin jaise jaise ilm haasil hua toh ye waswase kam ho gye. Lekin meri sabse badi problem ye hai ke jo deen ko lekar aur Allah ko lekar jo khyaalaat aatein the wo abb bhi aatein hain . Agar main inke baare zyaada sochti hun toh ye aur zyaada badd jatein hain aur jab ignore karti hun toh lagta ke mujhe inki parwaah nhi hai aur ye sab main jaanboojh kar soch rahi hun. Pehle ye sab soch kar mai bohat roti thi lekin jab se ye pata chala hai ke ye sab shaitaan ke wajah se hain tab se mai nhi roti lekin bohat bura lagta hai aur tarhat mein doubt rahta hai?

2. Kya Islam mein dimaagi beemariyon ko beemari ke tor par dekha jaata hai. Kya ocd ki wajah se aane waale gande khayaalon ki saza hogi jabki wo sab hum zabaan par laana toh dooor hum dil mein bhi uske baare mein nahi sochna chahte kyun ye khayaal bohat bure , gande aur bohat hi zayaada galat hain aur ye sab bohat badi hastiyon ke baare mein hai? Kya Allah paak mujhe iske liye saza denge mai paancho waqt ki namaz bhi padti hun aur Qiraan bhi roz padti hun.

Chori huwi cheez ko waapas karna

Q: Mai ny kuch sal pehly kesi k ghar mai chori ki thi or apni nanai amma ki bhi chori ki hai bhot martaba nani amma ka to intaqal hogaya hai. Lekin jis k ghar mai chori ki doston k sat mil kr wo log wo ghar chor kr chalygy. Koi bhi address nai hai unka. Mai bhot sharminda hn apni as harwaqt pr or Allah sy mafi bhi mangta rehta hn. Aap koi hal btao jis sy meri aakhrat mai pakar na ho.

Waalid se paisa lena

Q: Mere walid muje internet ke payment dete hn every month but is month meri payment automatically pay hochuki hai by internet company but mere walid ne muje paise dedye hn internet payment ke, muje paison ki zaroorat hai to kia me wo paise parent ko bina batae use karsakta hn apne zaroorat kelye kia wo paise mujpe halaal honge ? ye parents ko wapis karna honge batake ?