Talaaq

Larki ke waalid ke phone par talaaq ki message bhejna

Q: Mere husband ne mujhe contact kafi arse se nai rakha hoa hai. Meri ammi ne meri mother in law ko phone kia jis se misunderstanding hoi baat ki. Mere husband ko meri mother in law ne bataya to wo kuch aur samjhe aur gusse ma agaye. Mere abbu aur ammi ko text message per galiya dain rahe the. Ammi ke phone per ammi ko text message per dain rahe the. Abbu ke phone per abbu ko dain rahe the. Phir mujhe mere phone per text message per galiya dain rahe the. Phir kuch dhair band. Meri ammi ko text message aya ke tere ko ma talak deita ho. Phir text message aya meri ammi ke phone per talak deita ho. Phir mere abbu ke phone per aya ke teri beiti ko talak deita ho. Maine koi reply nai dia aur nai contact kia. Mere husband kha rahe hai meri koi intention nai thi agar hoti tu ma apni biwi ke number per karta sms. Text message ma talak likha hai, Spelling talak hai jis ke meaning kuch aur hote hain. Talaaq nai likha. Mujhe bataye talaaq ke bare ma ke kitni talaaq hoi aur koi solution bataye.

"Chordena" kehne se talaaq?

Q: Agar shohar kisi se biwi ke baray mai kahay k mai ne apni biwi ko market mai choorr dia hai yani market mai drop ker dia hy. aur phir us k dil mai khial aye k chorr dena kehnay se to talaq ho jati hai. es ka kia hukam ho ga. kia aisa khial anay se bhe nikah per koi faraq paray ga