Talaaq kaise dena chahiye?
Q: Talaaq kaise dena chahiye?
Q: Talaaq kaise dena chahiye?
Q: Aik baligh 19 saal ki larki university mai aik larky se nikaah kar li or us nikaah ka tariqa ye he ke unke dost hi dono ke alag alag wali bane or aik dost unka nikaah parhaye jis mai sirf ijab o qabool kiya gaya 4 logo ke samne or haq mehar ada kiya gya.
1. To kia nikaah ho jaye ga?
2. Agar is nikaah ke bad wo sirf kuch dafa mily or public place pe intercourse nahi kiya lekin tanhai mai zarur waqat guzara to bad mai larka usse ye bol de bohot dafa ke wo is rishta ko khatm kar de ga or aik dafa khud message kar ke bole ke aaj se hi azaad, aaj ke bad humary darmian koi rishta nahi he. To kia nikaah khatm ho jaye ga?
3. Agar ho jaye ga to kia uski iddat ho gi?
Q: Meri shaadi ko 5 saal ho gaei hein or ab ma ne apni biwi ko talaq de di hay... Lekin nikah register par kuch sharaait ke tor par likha huwa tha ke "Agar dulha talaq de ga to itni itni amount deni pare gi usse" Ab larki wale un peson ki demand kar rahi hein jo kawaaif main likhi huwi thi... Kia wo jaiz hein dena ya nahi? Or haq mehar ke bary main thori rehnumae farma dain.
Q: Mere husband ne mujhe 3 talaaq de di ghussay main to wo ab kehta hai ke tum wapis ajao mere haq main. To ab mujhe kya karna hai halaala karna hai? Us nay kaha tum nay kisi or mard ke sath 4 din lagatar hambisatari karni hai or maine wo kiya nikaah nahi parha us mard k sath.
Q: Main ne apni wife ko phone par 2016 ghussay main 3 talaaq di aur fatwa liye ke 1 huwi hai. Us se 6 month bad 1 talaaq di aur us ke 1 month bad phir phone par de di. Mujhe guide karain, mere 3 bachay hain.
Q: Kiya aurat nikaah ke waqt talaaq dene ka haq le sakti hai? Me khula ki baat nahi kar rahi hu. Jis tarah mard ke paas hota hai talaq ka haq.
Q: Agar koi message main apne dost ko kahe ke us ne apni biwi ko 3 baar talaaq de di hai in case inka apas mai nikaah huwa ho to kiya iss surat main ho jati hai talaq in case ke yeh baat biwi ke ilm main na ho?
Ya agar koi kisi page per 3 baar likh ker apni biwi ko talaaq de de phir woh kaghaz biwi tak na pohanche in case shohar apne paas hi rakh le likh ker to iss ka kiya masla hai?
Q: If a man says to his brother that "I am leaving my wife" one time. Tu kiya divorce ho gayi ya nahin?
Q: Meri cousin ki rishte ke bad nikaah hogaya tha aur rukhsati nahi huwi thi... Ghar me wo kamati he kiyunke us ki father nahi he. Ab rukhsati se pehle wo us se khula le rahi he aur unke beech me sex nabhi huwa he abhi tak, na hath lagaya. Woh door se rehti he. Uspe iddat he ya nahi?
Q: Jhagra huwa aur us k baad shohar ne mujhe kaha ke aaj se tum meri taraf se faarigh ho... Is se talaq waaqi hui ya nahin? Agar haa to ruju ka tareeqa kia hai?