Q: Aik baligh 19 saal ki larki university mai aik larky se nikaah kar li or us nikaah ka tariqa ye he ke unke dost hi dono ke alag alag wali bane or aik dost unka nikaah parhaye jis mai sirf ijab o qabool kiya gaya 4 logo ke samne or haq mehar ada kiya gya.
1. To kia nikaah ho jaye ga?
2. Agar is nikaah ke bad wo sirf kuch dafa mily or public place pe intercourse nahi kiya lekin tanhai mai zarur waqat guzara to bad mai larka usse ye bol de bohot dafa ke wo is rishta ko khatm kar de ga or aik dafa khud message kar ke bole ke aaj se hi azaad, aaj ke bad humary darmian koi rishta nahi he. To kia nikaah khatm ho jaye ga?
3. Agar ho jaye ga to kia uski iddat ho gi?