Talaaq

Teen talaaq

Q: Main ne phone par apne susar ku teen baar kaha "main ap ko gawaa bana ke apni biwi ko azad karta hoon". Ab meri biwi apne ma baap ke ghar thi. Ab main chahte hoon ke wo mere paas aye. Kya hamara sath rehna theek hai aur kya hum dono miyan biwi hain mujhe bataye.

Teen talaaq

Q: Mere showhar ne pehle gusse me 2 baar kaha tha jo mujhe sahi se yaad nahi hai k kya kaha tha bahot zor deke dimag pe yaad aaya hau k kaha tha "talaq de raha hun " aur "aisa karta hun mai tumhe talaq de deta hun aur chala jaata hun yaha se" .. us waqt mujje laga talaq ho gayai hai... Uske baad India gaye the whatsapp pe kuch behes me "talaq" talaq" likha aage peeche kuch nahi.. phir dusre din kaha Maine tumhe darane k liye kaha k tum chup ho jaao..ab husband ko pehle k 2 talaq keh rahe Maine nahi diya dhamki di thi k de dunga.. Whatsapp wala bhi unhone dhamki ki niyet se likha unke kehne pe. .. Ab aap is maamle me rehnumai karen kya talaq waaqai ho gayi??? Husband bahot junooni hain gusse me gaaliyan bura bhala kya Kehte hain phir sab bhool jaate hain k kya kaha.. Phir normal ho jaate hain..please jald se jald repky karen.

Ghusse me talaaq dena

Q: Maine apni wife ku do dafa ek hi minut me ghusse main talaaq di hai. Kya ye sahi hai? Ya maani jaye gi? Ya wajib hai? Agar ye sahi nahi hai to kya mujhe koi fatwa dena hoga ya phir koi or rasta hai. Please mujhe bataye. Main bohut pareshaan ho. Jo mere se ghalti hui use kaise theek karoo.

Teen talaaq

Q: Mere ek dost he unki shadi ko teen saal hogaye he. Wo khud foreign rehte he aur unki biwi unke ma baap ke sath rehti thi. Ek saal me kafi jhagde hue family ke wajah se aur mere dost ko pressurise kiya jata tha ke wo unke parents ki sune. Akhir ek saal baad mere dost India aaye unki biwi ke paas aur fir se kisi baat ko lekar unka jhagda hogaya aur unki biwi ko ye kehkar bhej diya unke mayke ke hum do din baad tumhe lene aege.lekin fir ghar me use bahot bhadkaya gaya uski biwi ke khilaf. Ye kehkar ke wo characterless he. Is bat par aur apas ke jhagde ke karan mere dost bahot nirash hue aur wo wapas laut gaye. Karib 4 mahine tak SMS ke through wo apni biwi se baat karte rahe aur kehte rahe ke mere ghar jakar baat karo agar wo ha kahe to me tumhe rakhunga. Mere parents razi nahi to me bhi razi nahi hu.aur wo razi he to hi aap mere ghar aogi warna ye rishta khatam . ladki ne bahot koshish ki ladke ke ghar walo se baat karne ki magar unhone kabhi call ka jawab nahi diya na Milne razi the. Aise me ladke ko kaha gaya ke ladki nahi chahti he tere sath rehna aur ladke ne talaq ke paper apne jamat walo ko bhej diye. 4 mahine baad ek paper bheje jisme likha tha ke me apni biwi ko 3 talaq deta hu aur kuch nahi likha tha usme.aur wo paper ladke ke bade bhai ne banwake bheje the yahan se. Wo mehez ek simple paper tha. Koi official papers nahi the. Ladke ne wo paper apne shaher ki jamat ko bheje. Lekin ladki nahi chahti thi talaq islie usne ladke se request ki ke wo use maaf karke rakh le. Lekin family problems kafi badh gayi thi jiski wajah se ladke k liye mushkil hogaya tha kuch bhi karna.us bich bhi ladke ko bahot bhadkaya gaya uski biwi ke khilaf. To paper bhejne ke kuch time baad ladke ne fir se paper bheje jisme likha tha mene apni biwi ko 3talaq diya. Ye paper bhi mehez ek simple paper tha koi official paper nahi tha.dono alag alag paper the. Jo 15 din baad bheja gaya tha ladki walo ki jamat ko. Lekin ladki manne ko tayar nahi thi. Paper bhejne ke baad bhi ladka aur ladki SMS ke through baat karte rahe.jisme ladka kehta raha ke unki family nahi razi he is rishte ke liye islie wo kuch nahi kar sakte. Ladke ka uski family me koi sunta nahi he. Ladke ki maa thodi dominating he. Wo Jo kahe sabko wohi karna padta he. Ladke ki maa ne ladki ko ladke ke sath bhejne se bhi inkar kar diya tha ek saal baad bhi.is baat se bhi ladka pareshan tha ke agar unki biwi india rahegi to wo uske liye bhi pareshani hogi. fir do saal baad ladka India aya . ladki ke kehne par meeting rakhi gayi. Jisme ladka ha kehna chahta tha par use shariah masla dikha kar aur family ka pressure saal kar chup kara diya gaya. Mera dost ye rishta rakhna chahta he. Par wo shariah masle ko leke pareshan he. Aur apni family se darte bhi he. Ladki ne ladke ka 3 saal tak intezar ki. Ladki chahti he ladke ke saath rehna. Aur ladka bhi chahta he uske sath rehna.paper bhejne ke time ladka kafi gusse me tha aur behek gaya tha. Par ab use afsos he. Par ladke ki family shariah masle par dabao saal kar use aage badhne nahi de rahi aur unki narazgi zahir karke unhe pressurize bhi kar rahi he. Aise me use kya karna chahie. Ladka apni biwi ko kese wapas le. Iske liye aap kya fatwa denge. Ladke ne bahot muftiyo ko pucha iska hal magar sivae halala ke koi jawab nahi araha he.Jo ladka aur ladki nahi karna chahte. Wo dono ek dusre se beinteha mohabbat karte he. Bas family jhagdo me ladke se ye baat hogai jiski wajah se ye baat agai he. Aap meherbani karke ispe soche aur koi hal de. Aur ha ladke ki jankari bina usne ghar wale ladki ke ghar divorce ke paper bhejne ki koshish karte rahe. Aap plz mere sabhi sawal ka hal batae taki do zindagiya Bach jaye. Jazak Allah.

Kya talaaq apne aap ho jata he

Q: Me and my wife are living separately since the last four years. She wants kula but I don't want to give talaaq and permission of kula. I want she should come back and we live happily. My question is if we are not living together to kya talaq apne aap ho jata he? Please answer because I am a new Muslim.

Teen talaaq

Q: Mery husband ne mujhe aik hi bar teen talaqen de di gussey mai. Aik mahina ho gya is bat ko. Is k bad na uno ny mj sy bat ki na mai ny unn sy is ka mtlb hai k uny yad hai k uno ny talaq di thi mj. To kya mujhe talaaq ho gai hai? Ya ruju kia ja sakta hai?