Talaaq

Husband telling the wife " ja ke apni maa ke pass rahu"

Q: I am writing some sentences of my husband which he just spoke 1 and 2 days later. Please guide me. Is there any effect with these on marriage? First day having issue arguing each other he said (aisi biwi nahi chahiya, kehnay lagay iger rehna ha tu live happily other wise do separate. Say your parents you are not happy with this guy kyn ke kaafi time sa hamari larayi Ho rahi ha. Wo kehty mujy samaj mein nahi as araha ha ke tum mary sath reh kyn rahi hon ja k apni maa k pass rahu meri Jaan churu bahsk do mujy etc etc) Please guide me.

Talaaq ke ba'd ruju' karna

Q: Mera question hai ke mene apni biwi ko ayk baar talaq di hai. Kya hamara rishta or nikaah khatam ho gaya hai? Qu ke mene suna hai ke agr teen maah ke andr ghalti ka ehsas ho jay or sath rehna chahyen, yo reh skty hain talaq nai hoti. Kya aap answer bata sakty hain?

Azaad ka lafz istimaal karne se talaaq

Q: Mere shauhar ne mujhe kaha ke jaa main tujhe azaadi deta ho tu dusri shaadi karle. Tu apni maa ke ghr chali jaa. Jaa main tujhe azaadi deta ho. Kya yeh jumle se talak hojaati hai aur kya isme niyat dekhi jaati hai aur agr talak hogy hai tu nikah dubara kis tarah hoga halala karna hoga ya phir aese hi nakah hojaati hai. Please zara gaur se bataye aur jaldi.

Talaaq ku muallaq karna

Q: Mai bohot ziyada parshan ho. Mery husbnd na muja bhai sa bat karny sa mana kiya ta owr kaha ta ke agar cntct kiya to meri taraf sa talak hai bht bar kaha aisa laiken bht gusa mai ta wo bht gusa mai bht bar kaha r mery husbnd mulk sa bahir hoty hai. Is sa pahla b wo muja talak dy chuka hai aik bar per rujo kiya. Ab ya 2nd bar mai na bas serf itna bhai sa kaha k muj sa cntct na kary mera husbnd na muja qasam de hai plz. Ab mai kya karo. Bohot ziyada parshan ho.

Teen talaaq

Q: Main ne phone par apne susar ku teen baar kaha "main ap ko gawaa bana ke apni biwi ko azad karta hoon". Ab meri biwi apne ma baap ke ghar thi. Ab main chahte hoon ke wo mere paas aye. Kya hamara sath rehna theek hai aur kya hum dono miyan biwi hain mujhe bataye.

Teen talaaq

Q: Mere showhar ne pehle gusse me 2 baar kaha tha jo mujhe sahi se yaad nahi hai k kya kaha tha bahot zor deke dimag pe yaad aaya hau k kaha tha "talaq de raha hun " aur "aisa karta hun mai tumhe talaq de deta hun aur chala jaata hun yaha se" .. us waqt mujje laga talaq ho gayai hai... Uske baad India gaye the whatsapp pe kuch behes me "talaq" talaq" likha aage peeche kuch nahi.. phir dusre din kaha Maine tumhe darane k liye kaha k tum chup ho jaao..ab husband ko pehle k 2 talaq keh rahe Maine nahi diya dhamki di thi k de dunga.. Whatsapp wala bhi unhone dhamki ki niyet se likha unke kehne pe. .. Ab aap is maamle me rehnumai karen kya talaq waaqai ho gayi??? Husband bahot junooni hain gusse me gaaliyan bura bhala kya Kehte hain phir sab bhool jaate hain k kya kaha.. Phir normal ho jaate hain..please jald se jald repky karen.