Talaaq

Teen talaaq

Q: Ayk hi majlis men teen baar talaaq kah den or hafty ke ander wakel ke zareay talaq ke papers jin men ten martaba talaq ke alfaz lekhy hoty hen. Is wakey ko 9 maheny ho chuky hen. Ab dobara aik hona chahty hen tu kia mamlat hn gy?

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ke teen talaaq ke baad agar sohar aur biwi phir se sath rehna chahe aur halaala nikah ke liye showhar kisi shaks se kahe ki meri saali hai aur usko uske sauhar ne talaaq de di hai phir usko halala nikah ka masla bataye ki halala nikah mein aisa hota hai ki koi shaks talaaq shuda aurat se shaadi karta hai phir talaaq de deta hai ki woh apne sauhar k liye halal ho jaye aur woh shaks halala k liye tyaar ho jata hai magar us shaks par yeh shart nhi ayad ki jaati hai ki tum humbistari k baad talaaq de dena aur iske liye ladki bhi raazi ho jaati hai phir nikaah k baad din mein woh dono hotel mein jaate hai aur humbistari karke woh shaks 15 minute baad talaaq de deta hai to kya halala ho gaya?

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ki halaala nikah mein ijab aur qubool se pahle agar ladke k dil mein yeh hai ki nikaah k baad humbistari k baad apni biwi ko talaaq de dunga ki woh apne sabiq sauhar k liye halal ho jaye aur ladki k dil mein bhi yahi hai ki talaaq k baad woh apne sabiq sauhar se nikah kar legi to kya halaala nikah ho jayega?

Teen talaaq ke ba'd saat rehna

Q: Mera sawal yeh hai ki mere bhai ne apni marzi se nikah kiya tha 16 saal pahle hum log sab saath rahte the un logo mein kabhi kabhi ladaai ho jati thi in 16 saalo mein usne apni biwi ko kabhi shaadi ke 2 saal baad 3 tallaq di kabhi shaadi k 6 saal baad talaaq di aur kabhi shaadi k 8 saal mein sirf dhamkane k liye talaaq di magar magar har baar 4 ya 5 din baad ruzu kar leta tha to kya talaaq ho gayi?

Halaala

Q: Mera sawal yeh hai ke mere bhai ne 5-6 month pahle apni biwi ko teen talaaq de di thi phir uske dowst ne ek maulana se fatwa lakar diya ke teen talaaq ayk hoti hai aur woh log sohar biwi ki tarah rahne lage phir hamare ghar ek alim sahab aye aur unhone kaha ki 3 talaaq ka matlab talaaq ho gayi hai aur talaaq diye hue 5-6 month ho gaye hai to iddat ki muddat to khatm ho gayi jo ap logo ne mubashrat ki woh haram hai ab iski surat yeh hai ki halala hoga phir mere bhai ne apne dost se halala ke liye baat ki aur usko masla bataya magar yeh shart nahi lagayi ki mubashrat k baad woh talaaq de dega is tarah se nikah hua aur woh log din mein jakar hotel mein humbistari ki phir 1/2 ghante baad usne talaaq de di jab usse kaha gaya ki tumne apni marzi se talaaq di hai to usne kaha haan to kya halaala nikah ki sharait poori ho gayi?