Talaaq

Teen talaaq

Q: Main ne aik masla poochna ha ke mera first cousin saudia main hota ha or us ny phone pr apni bivi ko teen dafa talak di ha so poochna ha ke is taran talak ho jati ha jab ke main nay suna ha ke teen haiz main teen talaqain danay se talaq hoti ha. Please guide me. Mazeed ye ke jab nikha k liyay gawahan ke zroorat hoti ha to talak kaya itni mamooli bat ha k phone pr denay se ho jati ha halan k main nay yay b suna ha k hadees sharif ka mafhoom ha k talak k baad aurat 4 month or 10 din apnay shohar k gher main hi guzaray gi or us iddat k tamam akharajat shohar k zimay hon gay to jb islam main yay gunjaish ha k aurat iddat b shohar k gher main puri kray then yay kaise mumkin ha k dir phone kr k talak ho jay jb k shohar k gher iddat puri krnay k hukam se to saaf zahir ha k hamara deen akhri hud tk koshish krta ha k gher kharab na ho. Please guide me in detail.

Teen talaaq

Q: Taqreeban ayk mah pihly bivi sy jhagra hoa tallaq dy di phir sulla kar li ik mah bad phir jhagra howa gusy me kih diya kih tallaq tallaq 2 bar is ky bad kaha agr tum ny ab bola to tesri bhi dy do ga pahli tallaq yad nahi thi or tesri tallaq dena bhi nahi chahta tha us ny to apny khyal me 2 di tesri yad nahi thi bad me yad aai zihn me sirf 2 ka khyal tha.

Jis shart ke upar talaaq muallaq kya gaya, usku bhoolna

Q: Mera sawaal ha ke aaj se chaar saal pahlay ki baat ha ke maray husband my talaq ko (Mashrot) ki thi or mujy sahi sa yaad b nahi aa araha ha but kaha tha k ab iger aisa kiya tu tumhein talaq ha ya Ho gi ma iss sentence mein b sure nahi hon question ya ha k ma buhat negetive insan hon her baat ko zahan per sawar ker Leti hon ab mujy tu na shart yaad ha na ya k kis baat per kaha tha uss waqat jab bola tha tab bi shayad ma na shart ko mind mein rakhnay ki bajaiya ya baat mind mein baitha li k iger husband aisa kahay tu kaya Ho jati ha ma na shayad uss baat per focus nahi kiya k wo shart kaya thi tu kertay Kerty wo maray mind sa mit gayi ha ab kaya pata ma na ker li Ho wo baat ya future mein Ho jaiya ya iger past mein Ho gayi Ho per mujy kyun yaad nahi aa raha k wo akhir baat kaya thi jis per shart lag ayi thi ma buht prashan hon what Islam says

Teen talaaq

Q: Meray shoher nay mujhay teen talaqeen di hain do mard hazraat aur teen khawateen ki mojeedgi main likh kay bhi aur zubani bhi magar abh who pachta rahay hain kehtay hain kay main unkay pass wapas chali jaun kiya koi sharai rasta nikalta hai mujhay khuda kay wastay theak guide kear dain.

Faarigh ka lafz talaaq me

Q: Mera sawal ha lagi dinu parlay just bast ha ab tu mujy pori baat b yaad nahi koi baat Ho rahi thi tu ma na apnay husband ko bola ma na b app ko space di hoiyi ha tu he replied ( tu ma na b farigh kerwaya how'a ha ma boli Zara lafz daikhay kaya matlab ho sakta ha tu kaha matlb hota ha tu Ho phir mein chup ho gayi) Abi ma kafi prashan hon ma na kafi mufti sa poucha. Please tel me.

Showhar biwi ko gussay may kehna "Jao mene tumhain azad kia"

Q: Agar shohar biwi ko gussay may kahay "Jao mene tumahain azad kia" tum farig ho meri taraf se" and kai bar kahay eik sath. Aur time to time like eik month ke bad bhi yehi ilfaz kahay. Phir again kch arsay ke bad kahay tu kia isse talaaq ho jati hai? Ayk aur bat add karna chahun gi. Bad me agar khaawind kahay ke meri talaq denay ki niyat nai thi but usne hamesha gussay me kahay ye ilfaz. To kia ye talaq ho gayi?