Talaaq

Pehli biwi ko raazi karne ke lia talaaq ka papers tayyaar karna

Q: Kuch time  phely app hi ki advise se apney gunha sy toba ker k hum ney shadi ki aur ab 3 saal hogay hen, bohat khush hen. Problem ye hay inki
pheli wife ko maloom ho gia hay, wo bohat ziyada taalaaq ka pressure kr rehi hay. Ossey 2 bachey hen, islye wo dono ko chorna nahi chahtye. Osey
mutmain kerney k lye talaaq k paper kisi aur sy ready kia, na mery husband ney sign kia na mey ney wo paper dekhey hen, na mery husband ki talaaq ki niyaat hay. Pheli wali bv ney khah k mery samney sign kero tu ager wo sign ker den aur dil mey niyaat na ho tu, aur wo paper baad phar den, na muje zaban sy den ya na paper show kern, aur wo muje dubai shift ker rehy hen, ta ke idher pheli bv mutmain ho jay. Is tarah kerney talaaq tu nahi ho gi.........kyun talaaq deney ki niyaat nahi hay, na wo meri zindigi barbaad kern gain , na hi pheli bv bacchun ki.

Shart ke saat talaaq dena

Q: Mery shohar ne mje talak di 2 dafa shart ke sath. Lekin shart ke alfaaz poshida rkhy, or bad mai zaher kiye ke (agr tm ne badkari ki to) maine tmhy talak di 2 dfa kaha is surat mai talak hui ke nai? or kya 2 bar ho gai? or 1 dfa phly bhi talak ka keh chuky thy ke agr tum aj ghr na I to meri taraf se tmhy talak hy, lekin tab mai ghar chly gai thi. Is ka mutalik kya raye hy or akhri bar phr 2 bar talak di mery kehny pe is ke bary mai bhi. Please agahi farahm kr den or kya 2 bar talak deny se 1 he bar mani jati hy?

Divorce papers bhejna

Q: Mere brother in law nay apni wife ko divorce papers send kiye jis me likha tha k me apni wife ko divorce deta he. 

  1. Jis waqt divorce di thee os waqt onki wife pregnant theen. ab delivery hogai hy lekn abhi tak wife apnay husband k pass nahi gai hyn.. tu kia divorce hogai?? ya wo wapis apnay husband k pass ja sakti hyn??
  2. Kia ye ek divorce hoi ya 3 hogai hyn?

Maslah daryaaft karne me talaaq ka alfaaz kehna

Q:

  1. Talaaq ke masle ke bare me agar hum kisi aalim ko masla byan karte he ya likh kar bhejte he to is me hum jo alfaz or jumle likhte he unse koi masla to nahi?
  2. Single lafz jab hum kisi se talak ke masail par baat cheet karte he to lete he is ke bare me kya hukm he?
  3. Agar talak ke masail ki book pharte he hum or aksar log unchi awaz me pharte he unme bi jumle hote he to iska kya hukm he?
  4. Agar kisi ko talak ka weham ho fobia ho or wo tanhai me khud ko samjata he mutmain karta he tasalli deta he khud ko to kya hukum he?

Teen talaaq

Q: Meray husband ne apne pehle wife ko shade ke 8th months me talaaq de zabani. Phir aik sal ke bad stamp paper par 3 talaaq likh kar bhijwa de sath sara saman jo woh lai the or haq mehar bhe lekin iddat khatam honey se pehley wapis bula lia phir dono sath rehne lagay is k bad zabani kai bar husband ne talaaq de or deney k bad nahe mante or kehtey hain k alag alag mujlis main likh kar de janey qwali talaaq count hote hai. Mera sawal ye hai k kia in logon mai talaaq ho gai hai q k mai dosre wife hon or mery husband ne os ourat ko akhri talaaq deney k bad shadi ke zaban se kai bar ghussey main man chukey hain os ourat ka mujh se koi taaluq nahe par phir bhe mujhe or os ourat ko aik jagha rakha hai or osko biwi ka pora haq dai rahe hain. Please mujhe maire swal ka jawab jald dejye.

Darane ke lia talaaq dena

Q: I had a fight with my wife over some issue. I told her main tumhay talaq day doon ga phir kaha ek ho gahi do ba'd main doon ga. Next time I again fought with her. I told her if you do not listen to me main talaq day data hoon. But all the time I did not intend to give her divoice just to scare her.