Talaaq

Talaaq

Q: Mery uncle ney meri aunty ko talaaq di lekin meri aunty kay samney nahi balkay apny bety kay samney kay main ney teri walida ko talaaq di or phir bad main hum sey yeh kaha kay yeh fail aun sey ghussey ki hallat main hua hai kya is surat main talaaq ho gi agr nahi to kya kaffara ada karna ho ga?

Biwi ku ehsaas dilane ke lia uske friend se ye kehna ke mai apni biwi se alag hogaya hu

Q: Me ne apni biwi ku ehsaas dilane ki niyat se uske friend se kai baar ye kaha hai ke mai apni biwi se alag hogaya hu. Aur ab wo mere saath nahi hai, aur hum sirf halala ke baad hi ek hosakte hain. To kya meri talak hogayi? Maine sirf use darane aur ehsaas dilane ki niyat se aisa kaha hai. Aur 2nd sawaal ye hai ke agar koi apni biwi ku 1 talak de aur phir kisi majburi ke tahet biwi ke saath rehne lage to kya ye ruju hoga, kyuki ruju ki koi niyat nahi thi sirf majburi thi saath rehne ki, aur is dauran ek baar humbistari bi kiya majburi mai, ruju ki niyat se nahi.

Alafaaze talaak

Q: Talaak sirf lafz e talak se hota hai ya kisi aur lafz se bhi hota hai? Friend ku yeh batana k meri wife se mera talaq hogaya hai aur sirf halala ki surat mai hum phir milsakte hai to kya 3 talak hojayengi jab ke sirf ek hi talak di gayi thi?

Phone par talaaq

Q: If husband says: "mai tmhe talaq dai doan ga jao tmhe ho gae" has talaq occurred? And after some days he says "mai tmhe talaq daita hoan" all this hapened on the phone. 

Ghusse me teen talaaq

Q: Mera sawal mere parents ki divorce ke hawale se hai mere father ne meri mother ko takreeban dair saal pehle gusse mein talakh dedi the 3 bar keh kar ke mein (tumhe talakh deta hoon talakh deta hoon talakh deta hoon) lekin us ke 2 ya 3 din baad unhone rujoo karliya yeh keh kar ke gusse mein talakh nhi hoti. to kiy talakh nhi hooi? kiya yeh rujoo jaiz tha? 3 din pehle unhone phr meri mother ko physically abuse kiya or usi gusse ki halat mein 5 bar kaha ke (mein tumhe talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon talkh deta hoon) to kiya talakh hogai? or phir unho ne 3 din baad rujoo karliya or meri mother agree hien unke sath wapiss shadi shuda zindagi guzarne ke liye... kiya mere mom dad ek dosre ke liye halal miya bv hein? or kiya is tarah baar baar gusse mein talakh deke ruju karna jaiz hai? agr nhi to please Quran or sunnat ki roshni mein batiyeh ke meri mother ko kiya karna chaiyeh?