Q: Aap se ye puchna hai ke talaq kisi bhi lafz se hojati hai maslan koi bhi lafz agar talaq ki niyyat se kahe to hojaegi? Ya is ke lia khas alfaz hai? Ya koi bhi kam talaq ki niyyat se kare magar moo se kuch na bole to hogi? Or agar talaq ka lafz pura na le adha lafz le. Jaise (talaaq) to hogi ya nahi?
A: Talaaq dene me do qisam ke alfaaz he. Ayk to wo lafz jo sareeh talaaq par dalaalat karta he owr dowsra wo jo kinaayah alfaaz he talaaq ka ma'na bhi us ke andar hosakta he owr dowsra ma'na bhi us ke undar hosakta he jeyse chali ja, tumhari maa baap ke yahaa waapas ja, waghairah.
Pehli qisam me bhghair talaaq ki niyyat ke talaaq waaqi hojati owr dowsri qisam me talaaq ki niyyat honi chahia.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: