Talaaq

Talaaq ko mu'allaq karna

Q: Me ek dost ke paas gaya tha. Waha thori se narazgi ho gayi to me ne ghusse me kaha ke agar me dobara yaha aaya to meri biwi mujh pe talaaq. Ab masla ye he ke woh dost mera phoopi zaad he. To mera sawal ye he k agar ayinda ke liye me gaya to kiya talaaq ho jayegi?

Iqraar karne ke bad talaaq ka inkaar karna

Q: Meri shadi ko 3 saal ho gaye he. Mere shohar ne mere baad kisi or se shadi kar li thi lekin jab mujhe pata chala, ma ne kuch nahi kaha. Phir us aurat ne khud un se talaaq le li aur phir kuch arse ke baad dobara us ke sath rehne lag gaye. Ye silsila phir 10 maah chala or unhi ihsaas hua ke wo galat kar rahe he lekin ab dobara wo us ke sath he or wo kehti he ke un ki talaaq nahi huwi jab ke wo khud kehti he ke unho ne 3 dafa talaaq di he us aurat ne khud un se talaaq li thi or ba qaida sign kiya tha. Kiya un ki talaaq ho chuki he?

Zabaani talaaq ke ba'd tahreeri talaaq bhejna

Q: Mere husband nay mujhy 2014 me zubani aik talaq di, uska koi tehriri saboot nahi tha, phir rujoo hogaya. Phir 2017 me aik notice bheja jis pe first notice likhwa tha, phir rujoo hogaya. Phir 2019 me aik notice bheja jis pe talaq dome likha tha. Hum samjhay ke 3 hogae, magar ab wo kehta hain ke abi 2 talaq hoi han kyun ke meiny mufti or wakely se mashwara kar ke pehle notice bheja tha us talaq ka tehriri saboot jo ke zubani di the, kyun ke agar mein ny us notice me ye nahi likha ke aik zubani di ha ab ye bhej raha hon, ab kitni talaaq hui?

Tanhaai me kehna "agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta..."

Q:

1. Agar koyi akele/tanhai mein apne aapse bataya karein ya muzakarat kare aur kisi purani baat ko leke wo ye kahe apne muh se ke agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta “muje tumhare sath nahi rehna aur talaq bolta” toh kya usse talaq hogi jabke niyyat uski sirf apne dimagh mein jo porani batein arahi thi.

2. Agar insan ko aisi baato ka khiyal ata hai aur usse nahi yaad ke usne kiya bat boli khud se muzakarat karte mein toh kiya usse talaq hogi? Bas dimagh mein shak paida ho raha hai jabke usko yaqeen he ke usne aisa kuch nahi kaha.

La ilmi me talaaq dena

Q: Main ye phochna chahta hoon ke mai apni biwi ko 3 dafa talaq de chuka hoon jis mai dusri dafa talaq jab maine di to meri wife pregnant thee aur mai la ilm tha kay hamal mai talaq hojati hai maine logon se yahi suna tha ke hamal mai talaq nahi hoti. Abh jab 3rd dafa di to pata chala ke wo bhi hogayi thee matlab mere mutabiq dusri aur teesri. Phoochna ye tha ke is la ilmi mai wo talaq hogi ya is la ilmi ki waja se ye rishta bach jayega.