Shohar ko apni biwi ko ma kehna
Q: Shohar agar biwi ko maa keh de to kiya nikaah khatam ho jaye ga, yani talaaq ho jaye gi?
Q: Shohar agar biwi ko maa keh de to kiya nikaah khatam ho jaye ga, yani talaaq ho jaye gi?
Q: Mere shohar se larai hogai thi. Me unki baat nahi sun rahi thi to unhe khudse door kar rahi thi. Me naraz thi unse to unko gussa agaya or unhone kaha ke me tumhe kal tumare ghar chor dunga to uspar mene bhi gusse me bola ke phir aenge nahi lene to unhone bola pata nahi... to aap mujhe ye bataye ke is muaamle me talaaq to nahi hoti na? Mere shohar ne kuch talaaq ki niyyat se nahi bola tha.
Q: Kiya Sharee (Islamic) adaalat ke baghair fasakh ho sakta hai?
Biwi ke tamam huqooq poore kiye iss baat ki gawahi mere susar aur brother in law bhi dete hai. Aam gharo ki tarah larai hojati thi woh bhi 3-4 saal pehle. Mere susral wale bhi meri biwi ko kehtay hai ke wapis jao. Lekin woh adalat gayee aur khula li. Mai ne poocha ke khula husband ki consent ke baghayr hoti nahi. Aur Islamic court ke baghayr kia fasakh hota hai aur kia jaiz hai?
Q: Mere aur mere husband ke jab bhi fight huwi mere husband ne bola ke me talaq behjwa dunga ya ja kar de dunga gussa ki halat me aur kuch hours bad jab hamari fight khatam hoti he to hum ek sath dobara hu jaty. Hume is baat ke ilm nahi tha ke aise bhi kehne se jati he jab se mene talaq ke bare me videos aur Surah Baqra aur Surah Talaq parhi. To me confuse hu ke kya meri talaq hu gayi jab ke hum dono ko nahi maloom thaa ke aise talaq hu jati he.
Dusra sawal ye k humari recent fight me mene mutalabah kiya talaq kiyun ke wo ghar se bahir ja re the gussa ki halat me aur muje unko rokna tha is halat me ghar se bahir jane ke leye to mene bola aap jaye ge to talaq de kar jaye to us par mere husband ne muje talaq ka word 2 time bola sirf gussa ki halat me ghar se bahir jane ke lye.
Meri koi talaq ki niyat nahi thi aur mere husband ne 2 baar just word talaq bola. To kya meri talaq hu gayi? Mere husband ka kehna he ke only mind me ye tha agar 3 bar bole ge to talaq ho gayi 2 bar nahi is liye unho ne 2 bar bola thaa. Is bat ko 3 day ho gayi he aur mere mind me shak agaya he ke talaq ko le kar me har roz un se pochti hu k aap ne mujhe talaq nahi de tu unho ne kaha nahi de gussa thaa wo. Mene kafi mufti ka video suna maslo par ke gussa me talaq hu jati he.
Q: Mera shohar kehta he ke us ne talaaq dene ki niyyat ki aur phir talaaq de di lekin wo mere saamne nahi di, meri ghair moujoodgi me huwa to kiya mujhe talaaq hogi?
Agar dobara hum sulah karna chahte he to is ka kiya tareeqa he?
س: میرا شک ہے کہ میں نے اپنے دل میں کچھ طلاق کے بارے میں کہا رہا تھا یا زبان سے مگر مجھ کو یاد نہیں کیا اس سے طلاق واقع ہو جاتا ہے
Q:
1. Ek raat ko meri biwi se behs huwi aur mene use kaha “tum dekho me tumko subah paper behj dunga/behjta hu” toh kiya isse talaaq hogi?
2. Ye jo alfaz upar bole he kiya ye mustaqbil ke alfaz me shumar honge?
3. Akhri bat ye poochni he ke agar insan ki talaq ki niyat ho aur agar wo talaq alfaz mustaqbil ke alfaz ke saath ya wadah-e-talaaq ke alfaz ke saath kahe to kiya us case me talaaq hoti hai?
Q: Kiya half words jaise "taaliqun" ki jaga agar "taali" moo se nikal jaye to talaaq hoti ke nahi?
Q: Agar koi banda bohot ziada ghussay me ho, aur wo apni biwi se kahe ke abhi mujhe apni shakal mat dekhao. Talaq ka zikar nahi chal raha tha, bas larai jagra ho raha ho, to kiya is se talaaq hogi?