Khwaabo ki Ta'beer

Nikaah se pehle larka owr larki ke darmiyaan najaaiz taalluqaat

Q: Mujhy app say apni shadi ke baare may baat karni he. Main apni pasand ki shaadi karna chati ho our sub sahi chal raha tha har cheez sahi thi hum pechly 5 saal say baat kar rahy thy our khush thy Sath our humari nature buhat same thi. Matlab hum nay Allah Ta'ala say ayk dua ki thi k humra life partner ASA ho Jo same ho hum say our Allah tallha say yah dua humari qabool b ki hum milwaya waha say jaha say humra koi chance hi nahi tha our sub sahi chal raha tha mery ghar waly maan b gay thy us k liya our us k ghar waly b man gay thy k thik hy hum jaey gay our baat pakki Kar k ay gay per howa kuch ASA k wo ay our unho nay mujh may points niklna churo kardiyn our us larky ko b kahny lagy k wo Larki sahi nahi hy. Per jab say meri baat us larky say ho rahi thi meri mama khuwab dakh rahi thi k main ho our buhat khush ho kahi green darakt k pass ho our buhat sary fruits cut Kar rahi ho our main nay green colour Ka dress wear kiya howa hy. Our jab say meri our us larky k baat kharb Hoi hy mama khuwab may dakh rahi hy k mama k hath may AK plate hy jiss may kuch green colour Ka hy buhat Sara our mama dil may yah soch rahi hy k yah our to weisy hi hy Jesy humary piyary NABI (P.B.U.H) ka roza Mubarak Ka menar hy.. Ab please app mujhy in khuwaboo ki tabeer batain our yah batain k wo mery naseeb may hy yah nahi..

Khwaab ki ta'beer

Q: Mujhe apne khwaab ki tabeer maloom karni hai. Kuch mahino se Alhamdullilah Huzur tashreef late hain. Pahle akele tashreef late the. Phir dusre lauren mein farishton ke saath tashreef laye aur tableeg ka huqum farmaya. Phir agle khuwab mein Hazrat Ali qarmullah R.A se mulqaat karwaya Alhamdullilah kya khubsoorat manzar tha. Agle khuwab mein mein jannat-al-baki mein khadi thi aur Aap kuch logon se meri mulakat karwa rahe the..hi Ki faut ho chuke Hain magar sab k sab mujhse se milkar kafi khush the. Phir agle khwab mein apne pyare nawase se mulaqat karwaee. Unka sir nahi tha ye dekh main rone lagi ke aapko kitni takleef pahuchi hogi to isper unhon ne farmaya ke takleef kaisa mujhe to shahadat naseeb hui Alhumdullilah. Aur pas hi unki biwi baithi thin aur wahin per khatoon -e-jannat bhi maujud thi. Agle khuwab mein Huzur Ummul momeneen Hazrat Ayesha R.A ke saath the aur aap ko Hazrat Ayesha R.A khana khila rahi thin aur aap har baar ki tarha kafi khush then.

Khwaab ki ta'beer

Q: Meri ami ne recently yeh khwaab dekha hai hamare ek kamre main bht pani hai deewaron se pani araha hai phir wo lounge main ati hain to wahan meri do doaten hain or us lounge main bht dhool matti hai or main apni doston ko kapre or joote dekha rahi hon to meri ami b wahin ek kursi par beth jati hain jb wo khari hoti hain wo kursi tooti hui hoti hai phir khwaab khatam ho jata hai. So please mujhe is khwaab ki tabeer bata dejiye bari meherbani hogi.

Khwaab ki ta'beer

Q: Mene khwaab mai dekha ke mera rishta hone walay hota hai aur mai pareshan hoti hu kai isai na ho uski thori dair bad ek aur khawb dekha kai mera rishta merey chotai chacha sai hone wala hota hai aur meri ami mana kar rahi hoti hai iska kya matlab hai?

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab mai dekha ke bahot andhera hai aur mai qabristan ke karib khadi hun je. Yeh qabristan mere ghar ke karib hai hakikat mai hai hamare yehan qabristan. Phir age maine dekha wahan ek aurat bahot badbad kar rahi hai jo kisi ko mana kar rahi kuch karne ko mai os ke karib jati hun to woh qabristan ki taraf muh kiye howe hai mai ose puchti hun kiya bat hai to woh mujhe kahti hai ke mai inhe kab se mana kar rahi hun per Yeh mante nahi koi fayeda nahi mai puchti hun kon to woh qabristan ke andar isara karke batati hai ke woh hamare nabi hai aur mai wahan dekhti hun aur mujhe mahsus hota hai ke hamare nabi hai mustafa sallalaho alaihi wasallam jo qabristan mai hai our Qabar khud rahe hai woh aurat kahti hai Yeh tomhari Qabar hai aur osme pani bhi araha hai oper se kiyu ke hamare yeha qabristan jara dhalan mai hai aur wahan teen Qabar khudi hoi hai aur wahan mujhe Qabar khudne ki chije najar arahi hai aur jis insan ko mai nabi samaj rahi hun woh Qabar mai se pani bahar dal rahe hai masha Allah bahot khubsurat hai safed libas pehna hai our khas bat on ka libas matti our kichad se bilkul ganda nahi huwa tha aur mai Yeh dekh kar ghabra jati hun our wahan se hat jati hun. Kiya sach mai woh hamare nabi ho sakte hai plz bataiye?

Khwaab ki ta'beer

Q: Maine khwaab dekha ke main door khari ti. Aur aasman ke taraf dekha to door se aasman se safaid dariya jaisa pani ki laher arahi ti. Zameen tak ayee par mere kareeb nain ayee na koi nuqsan kiya. Door meri ammi ko b dekha. Wo aise hi Zameen pe gir gayee ti. Aur phir ussi khwab mein jaisa koi naher ti. Swimming pool ke size. Aur main pani ko dekh rahi ti. Aur dil mein kuch kaha kisi Arabic jaga ka naam Liya ta maine. Ke wahan ke pani bhar gaya. Aur dekha ke achanak se pani upar ho gaya. Par nuqsan nain hooya. Please bata do. Maine ishtkhara kiya ta. Yeh khwab fajr ke baht baad ayee ti.

Khwaab ki ta'beer

س: جی می دریافت کرنا چاھتا ھو کہ کسی زندہ انسان کو دو ٹکڑے دیکھنا اس کی کیا تعبیر ھو سکتی ھو کہ دونو ں ٹکڑی درمیان میں علیحدہ ہوچکی ھے کیا تعبیر ھے .جزاک اللہ خیر؟

Khwaab ki ta'beer

Q: Dopehar kay waqat khawab main new aur kafi bara ghar dekha jis main mera bhai aur aur kuch meray dost bhi dakhol huay per bhai aur dost drawing room main gay aur main ghar kay andar. Aur ghar bilkul new hai. Please iski tabeer bata dain.