Naseehat

Wasaawis

Q: Ye bta dein en fikro sa mery iman owr nikha per to aser nahi houa. musla ya ha ka mein wehum owr weswsay ki mareez houn muj sa 3 4 gultyan ho gai hein jin ki waja sa buhut tention mein houn ka in sa mery iman owr nikh per to asser nahi ho gaya (1)muj per gusul ferz tha haiz owr jinabut ki halut mein thi to mein na kupra jis per kulma shreef likha hua tha otha ker dosry taruf rukh dea ab mujay nahi malom ka kulmay ko mein na choua ha ka nahi (2)mein apnay batay ka sath bat k.er rahi thi ka tum na doup (sun) mein ja ker apna rung (colour) kitna black ker lia ha pher mein na naraz ho ker keh dea hisai ( christian ) sa kerta kia ha (3) mein apni humsai( neighnour) ko bata rahi thi jub meri ammi fout huni thi to meray walid na a ker kaha beta allah ka hukum sath hi mein na ya keh dea ka mein nahi manti ya bat mein na humsi ko baty huy kehi ka abu na asa kaha or mein na asa kah jis wequt meri walda ka intaqal hua os weqt mein na asi koi bat nahi ki thi bus humsai ko batty huy mery mounh sa asa nikul gaya meray dil mein allah ka hukum ka bary mein kuch gult nahi tha bus mein na juldi sa keh dea agy mein na kia bat ki mujay kuch yad nahi lakin bad mein mujay shitan na weswasa dala kek tum na allah ka hukum ka bary mein jan bouj ker asa kaha ha by chans asa fekra bun gaya mery dil mein asa kuch nahi tha (4)mein na bagair wazu ka sipary (quran) ko chou lia alfaz ko hath nahi lagaya bus opper sa pukra( 4 ) mein nay apnay bucho sa bat kertay huay ya keh dea ager tnm na nahi khaya to kia fereshtay a ker yaa sub kha gay mujay in sub gultyioun ka bary mein bata dein ka in sa mery iman owr nikh per to aser nahi houa shukrya

Kufr ke wasaawis

Q: Main Allah ki rehmat k bare main soch rahi thi k Allah chahe ga to kisi b gunah ko muaf kar de ga, itne main mere munh se nikla k Allah kahe ga k 'chalo bhaee main is bande ko muaf kar deta hun'. Kia ye kufr hai. Mujhe bohot waswase aate hain to ab mujhe yad nahi k ye lafz mere munh se ada hue k nahi

Allah Ta'ala ki rahmat se mayoos ne hona

Q: My husband is very ill and the doctor has said that he has very less time to live. Being a Muslim me and my family have trust in Allah and we are praying a lot and making dua for his long and healthy life. Allah ki zaat se mayus nhi ho sakte. Seeking help from Allah.. pr waswase atae hai ki shayad kch thek na ho.. Imaan pe layam hun ar Allah se shifa ki dua krti hun pr kabhi kabhi dil bht bechain hota hai. Allah se dua krti hun ki vo koi ishara de ki uski madad hai mere sath.. Ap btayen ki kya kru.. waswase imaan kamzor krne lagte hai jabki mai apne Allah pe yakeen rkhte hue is baat pe yakeen rkhti hun ki vo mere shauhar ko shifa zrur dega kyuki vo hi zindagi ar maut ka malik hai.

Nikaah se pehle najaaiz ta'alluq rakhna

Q: My question is, kya muhabbat karna gunna hai? Kya musalman se muhabbat karna gunnah h? Jis insan se main muhabbat karte hu woh musalman h in fact hanafi h kiya yeh kafi nhn h? Kya kuwari baligh bache apni marzi se nikah nhn karsakte? Main alima banne wali hu bs 2 ya 3 saal reh gaye h muje recently realize hua k pehle Allah hai phir duniya. Jab maine realize kiya k pehle Allah phir duniya h toh jis bande se main muhabbat karte hu woh baligh musalman woh bhi hanafi h kiya yeah kafi nhn h? Hamare ustado ne yeh sikhaya k jab kisi kuwari aur baligh ka nikah ka time ata h toh woh khudi decide kar sakte h. Mere ma baap specially ma chati h k main mufti se nikah karu. Kaise trust karu jab aj kal k zamane main trust karna he mushkil h jaise hufaz smoke aur drink karte h, jab k Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k zamane main huffaz Quran ko protect aur yaad karte thai aur jab written nhn hoti thi toh foran yaad karte thai. Same goes with mufti aj kal k zamane main mufti ab marte galiyan bagte paise k peeche jate jab k Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k zamane main bilkul he nhn tha. That's something different but jab hazarat Ali, Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) k ghar main dakhil hue thai aur hazrat Fatima k liye rishta mange thai toh ap ne farmaya insha Allah aur foran apne baite hazrat Fatima k paas chale aye aur faramaye baite Fatima hazrat Ali ne apke liye rishta mangne aye haan kehdu? Toh hazrat Fatima ne farmaya ji phir apne rishte ko accept kiya. Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ne toh gali nhn de nor beti k saath batameez ki nor force kiya k tum mufti se nikah karna lazmi h. Yeh toh nhn kaha right??.. Jab hum Islam ko sikh rahe hain toh amal bhi karna chaye. Beshaq Islam main 4 cheezain dekhna chaye nikah k liye. Par jis bande se main muhabbat karte hu woh musalman h kafir nhn yahan tak k woh shia nhn h bs hanafi h aur musalman bhi kiya kafi nhn h? Main alima ban rahe hu aur mushkil se deen ko accept kiya jab k main duniya k studies k peeche bhag rahe the aur jab k maine muhabbat ki toh deen pata nhn kahan se kahan take phoch gaye jab k na islam main aur na deen main force h. Main kiya karu? Main unhe se nikah karna chati jisse main behad muhabbat karte. Muje pata h deen muhabbat se chalta h na k zabardasti se. Main zabardasti ki wajah se ghalat raaste main nhn jaana chati hu par lag raha zabardasti ki wajah se arahe hu. Muje pata nhn main kiya karu? Kahan jao? Kisse bolu? Yahan tak k meri ma khud alima ban rahe h shes deenv and duniyav educated but still she's acting like she doesnt know anything? Dusra sawal kiya kisi momin k feeling k saath kehlna islam main jaiz h?? Kisi momin k feelings ko hurt karna islam main jaiz h? Kiya yeh islam h? Jab ek couple ek dusre ko muhabbat karte unke feelings k saath kehlna jaiz h?? Jab ma baap baat nhn sunte bacho ki toh khudkushi karwana inhn m main jaiz h? Jab couple main se ek banda cough syrup piye jab woh larki se behad muhabbat karta h larki k ma baap ki wajah se kiya yeh islam main jaiz h? Dusro ko hurt karna aur apne manmane karna kya yeh islam main jaiz h? Kya yeh sab islam main jaiz h?

Shubuhaat

Q: Mein wehum owr wesesay ki mareez houn mujay ya poucna ha

1. Ager koi khud kalami mein Qurani aayat baturteeb yani alfaz agy pechay ker day yani ya keh rahi ho mein nay Quran es aayat sa perhna shorou kena ha lakin alfaz agay pechay ker dey

2. Ager koi ourut bat kertay huyya keh day ka mein insan houn mujay zeada momin bunay ki zarorut nahi

3. Ager koi ourut khud kalami mein hadees ka alfaz jasay ya hadees ha rizik ki quder kro es sa ya sumuj ker apanay app sa ya keh dey pearay nubi na fermaya riziq zaiya nahi kerna chahiy to kia os ko hadees ka alfaz budulnay ki weja sa gunah ho ga

4. Mujay koch nufciaty masail hain kisi weswsa anay per 2 ya 3 bar ya keh day my name es Allah pleez mujay in gultioun ka bary mein bta dein kka in sub gutioun sa mery iman owr nikha per to aser nahi hoa Allah app ko jazay kheer dey

Shaadi se pehle haraam ta'alluq

Q: Men kuch sawal puchna chahte hn per muje nae maloom kahan jaon, kis se puchun. Ya kya karun. Ajeeb muskil men hn, kuch samajh nae aata. Jab men bohat choti the to mere cousin ne khelne ke bahane muje room men band kar lia tha aur touch krne ke koshish k.. Balke honton ko kia..men bohat ro rahe the, WO muje jane nae de raha tha. Phr mama aa geye darwaze per aur usku door open Karna perha, mama ne muje dekhte he marna start kar dia aur kaha ke kya kar rahe the etc.but mene to bohat koshish k the us se baghne k per WO mujse kafi bara tha... Ab men 26 saal k hn. Magar aj b takleef hoti ha ke kisi ne mera sath nae dia.muje nae pata us cousin ne mere sath rape kia ya nae magar dar lagta ha ke kehe Allah muje saza na den. Men mama se hamesha darte rahe..ek boy se pyar kar beathe, sucha shadi karen g.mama ko pata chal gea, WO samjhi men gandi hn, WO rone lage.mene unku chup karwane k koshish k per kahne lage acha hota tm mar jate..men bohat dukhi ho geye. Mene mama ka dil rakhne ko Quran pak pe kasam khai ke men ayenda aesa nae karun g..mama ne kaha ke Facebook p account nae banao g.ab muje ek account k zarurat ha.men kya karun?mere madad Karen.mera koe nae siwaye Allah k. Baki mujse nafrat krte hen. Men Allah ko naraz nae kar sakte. Mama ne bohat ajeeb kasam uthwai..kafi batun ka kaha ke nae karo g.muje to yad b nae.Bohat preshan hn. Har wakat suicide ka suchte hn.

Awlaad ki tarbiyat

Q: Mara eman o aqeeda per ha ya abhi thori dair pahlay ki baat ha ma so rahi thi meri beti ju takreeban 5saal ki honay wali ha meray pass leti or bachu ki zuban ko kuch perna start ho gayi ma so b rahi thi or uthi b hui thi iss condition ko pata nahi kaya kehtay hain lakin so b rahi thi or uthi b keh ly ab wo apni zuban mein kuch per rahi thi or kuch uss me Allah ka b naam ly rahi thi lakin kuch pata nahi kaya per rahi thi mara dil mein ya ayya k kahun (bakwas band karo) lakin sirf bak kaha or ussay aik tapar mara mujy khayal ayya ky uss mein Allah ka name b lay rahi thi issi liya ya baat nahi ki ab mujy uss waqat ka dil mein dar or fiker sa ha k mara eman o achay amal iss tarha sa zaya tu nahi ho gaya or mara nikah ma buht prashan hon baat app ko email mein porie likh di ha maray sath aisay hi hota ha ma kuch b iss tarha ka ho jaiya tu apnay oper sawar ker leti hon or wo sara dil mara tention or prashani mein guzarta ha plz mujy bataye mary moun mein khak naouzbillah me Apnay Allah ko kyn kahun gi koi b zee roh jis mein thora sa eman ho wo jan bhoj ker Allah ko nahi kahy ga kuch b