Naseehat

Khaawind ke jhagre me ne parna

Q: Mere shaadi ko 20 saal ho gaye 2 bachhe hain. Hum deendar hain mere shohar tagleegh me bahut saal se hain, fazail-e-amaal ki taaleem bhi ghar me hoti hai. Hum hamesha haalaton me mubtila rehte hain kahin na kahin isi wajah se mere shohar mere parents se hamesha naraaz rehte hain jabke mere parents ke bahut ahsanat hum par bahut hai. Din ba din mere shohar bahut saqt hote ja rahe hain mere parents se baat bhi nahi karte phir bhi wo mujh se milne aate hain to bhi baat nahi karte wo khud bahut samajhdar hai phir bhi main bahut samjhaati hoon wo kabhi kabhi mujhe bhi un se jhagadne ke liye uksaate hain. Mere shohar ke harkaton se mere parents mujh se naraaz rehte hain. Main dono ke beech kuch bhi theek nahi kar sakti sirf Allah se ummeed lagaye hoon. Aajkal mere shohar mujh se bhi naraaz rehte hain hum log hamesha pareshani me rehte hain Allah ki aazmaishon se hamesha ghire rehte hain lekin mere parents achchi haalat me hai shaayad isi wajah se mere shohar pareshaan rehte hain in wajahon se main aajkal mentally bahut disturbed hoon main ne mere shohar ke liye bahut qurbaniyan dee hain. Phir bhi wo mujhe gair samajhte hain un ko samajhana kisi ke bas me nahi Allah hi unko samajh de sakta hai mujhe koi aisi dua bataayiye jis se main apne shohar ka dil naram kar sakoon. Mera doosra masla ye hai ki mere father ki property ghar estate sab mila ke dedh crore ki hai hum do behne aur ek bhai hai hum 3 bhi settled hain. Mere father property share karna chaahte hain mere parents bhai ke saath hai to mera kya hissa unke property me hoga? Agar mere father shariyat ke mutaabik nahi diya to kya main demand kar sakti hoon? Ya un ke ahsanat ki wajah se chup rahoon? kya mere shohar mujhe property lene se mana kar sakte hain ya nahi agar mana kare to kya main un ke marzi ke khilaf ja kar mera haq samajh kar le sakti hoon? Mujhe in sawaalon ke jawab chaahiye mufti saahab shaayad mere liye Allah se madad aapke zariye se mile Allah aapko hamesha achchi sehat aur lambi hayaati ataa kare.

Mushtzani ka ilaaj

Q: Allah Ta'ala bande se farmata hai mujse bakshish mango me tumare sare gunaho ko baksh donga sab gunah mitadonga namae amal se phir new zindagi start karo owr gunah se namae amal me Allah kehan. Falah shaks hai wo daily mushtzani krta hai or daily tauba krta hai or salat tauba parta hai or roke bakshish mangta hai or uska dil me itmenan hojata hai ke Allah ne maaf kardia hai kyn Allah maaf kardeta and namae amal se sb gunah mitadeta hai. To kia wo shaks jab dobara gunah karega after one day or some days to kia uska gunah0 se likha jata hai ya woi purane gunaho me add hojata hai saza ke tor par?

Zina se tawbah karna owr shaadi karna

Q: Maine ek ladki ke sath zina kiya aur zina hum dono ki razamandi se hua mai us ldki se shadi karna chahta hu lekin mujhe us ladki ke bare mai malum hua ki woh mere piche kisi dusre ladke se v bate krti hai to mujhe ab kya krna chahiye mujhe us ldki se shadi karna chahiye ya nhi karna chahiye?aur mujhe zina ka kaffara ada karna hai aur zina se tauba karna hai uske liye kya karna hoga mujhe bataiye.

Tawbah Allah Ta'ala ke lia karna

س: مفتی صاحب توبہ تو خالص اللہ کیلئے کی جاتی ہے ، لیکن اگر اس میں اللہ کہ خوف کہ علاوہ اور نیتیں بھی شامل ہو جائیں تو توبہ صحیح رہے گی ؟؟؟ ہمارے عزیز دوست کچھ کبیرہ اور حدی گناہ کہ مرتکب ہوئے اور پھر نکاح سے پہلے انہوں نے توبہ کی جس میں نیت اللہ کا خوف بھی تھا اور یہ بھی کہ نکاح جائز رہے۔ کیونکہ گناہ ایسا تھا جو اسلام سے خارج کر دینے والا تھا۔۔ یعنی توہین ہوئی تھی ۔۔۔ تو اب انہیں یہ بات پریشان کرتی ہے کہ توبہ صرف اللہ کیلئے ہوتی ہے اور چونکہ انکی توبہ میں دو نیتیں تھیں تو اب نکاح کی کیا حیثیت ہے ؟؟؟ جزاکم اللہ

Haraam mahabbat

Q: Mujhe ayk ladki se pehli baar dekte hi mohbat hogai thi and mene use bht manga Allah se and Allah ne dua bi qabool ki and us ladki ko meri qadmon me daldia or wo mujse tootke mohbat karne lagi but uske walden razi nai the because mere pas job nai h or wo rich family me karna chata the to uski shadi dosri jaga hogai ab wo mujse bat nai karti. Muje jo use mohbat hui thi aj bi wesi h h dil me me namaz quran parke dua karta hn Allah se wo muje miljae mene parha hai jannat me ladki ko woi husband milega jo duniya me uska husband hoga marte dam tak. Jannat me her khuwahish pori hojaegi wish karne pe to kia wo ladki muje jannat me miljaegi jise me duniya me chata hn dil se? Ya wo uske sath hogi jo duniya me uska husband hoga?

Shaadi me pareshaani

Q: Pasand ki shadi ki thi paanch saal pehle. Tab se aaj tak sirf larai jhagra or kuch nahi. Talaaq dena chahta hun. Ayk masla ha hamara aik bacha ha 10month ka. Nikah me haq mehr 200000 lakh mujal, 200000 ger mujal or is k ilawa aik ye hai ke pasand ki shadi ha or wo wapis apny ghar nahi ja skti becoz thay will kill him. Talaaq ki waja betahasha zuban darazi or batemizi ha.

Shaadi zabardasti se parhaya gaya

Q: Ayk larki hai jis ki shaadi us ki maa ne zaberdasti ek ghalat insaan ke saath kerwaya tha. Jis pe naa larki or na hi us ka baao khush tha or na hi larki ne nikah qabool kia or na hi molvi ne larki ki razamandi poochi. molvi bhi jo nikkah k liye aya tha woh bhi koi orignal molvi nahi tha ek aam insaan tha. Woh ek jhoota insaan tha pehley se shaadi shuda tha us ne sirf apni aiyaashi k liye jhoota nikah kiya tha .20 din k baad woh dono alag ho gaye or phir dono kabhi bhi ek dosrey se nai miley. Us admi ne bas call ker k yeh kaha mein tujhe talak nahi doonga aisey hi zaleel keron ga. Phir un dono ka koi raabta nai hoa. Kuch arse ke baad us larki ki mulaqaat mere saath hoi or hum dono ek dosrey ko pasand kerne lagey or baat yahan tuk pohunch gayi k woh pregnent ho gai or dilevery bhi ho gai. Us k baad hum ne larki k gher waloon ki mojoodgi mein molvi saab ko bulaa k nikaah ker liya or ab 5 saal se ek saath hain or us se mere 2 buchey hain or hum saath hai. Mera app se yeh sawal hai k kiya mera nikkah jaiz hai? or ager nikkah jaiz nai hai to hamey kia kerna chahiye k hum gunnah se or Allah ki narazgi se buch jain. Aap is ka poora masla bata di jiye mein bohut pareshaan hoon is masle ko le ker. Iska poora hul bataiye ga ke hume kerna kia hai?