Naseehat

Musht zani

Q: Mene mushtzani bahut ki h aur abhi bhi ni chor parha hun kafi kasme bhi khai chorni ki pr chor ni pa rha hun meri age 24 yr h aur ye aadat mujhe 12 sal ki age se h ab mujhe do problems he

1. Mene bahut si jhooti kasme khai h unka kaffara ada sari zindgi bhi kru to zindgi kam padh jayegi mijhe maloom h kaffara kaise ada hoga is ka koi aur rasta nhi h kya kaffara na dun aur allah se sache dil se mafi mang lun to kya maf ho jayega?

2. Aur jb me mushtzani nhi krta to ajeeb ajeeb se waswase aate h jaise mujhe ye lgta h k mene kisi ke sath zina kiya h mushtani nhi ki is bat ko sabit krne ke liye phr mushtzani kr leta hun Mushtzani chorne ke bad ajeeb se waswase aate h aur isi wajah se phr mushtzani kr leta hun iska koi ilaj he ya nahi?

Ajnabi aurat se mahabbat karna

Q: Main ayk larki se muhabbat kerta hn jabke woh mujh se muhabbat nai kerti ha. Or main bahot hi zayad preshan hn kyunke mera dil perhai main bilkul bhi nahi lagta hai or her waqat main usi ke khayalat main rehta hn kuch samajh nai a rahi hai. Namaz main bhi usi ke khayalat ate hain. Kya aap ke pass koi tadbeer hai to please bata dain. Mere dil ko sukun mile. Ya woh mera ban jae ya main us se door ho jaon. Pata nahi kya waja hai. Please help me.

Shaadi se pehle zina karna

Q: Mera sawal ye hai ke agr biwine shaddi de se phale sex kar chuki hai ek se ziyada afrad ke sath wo bhi anginat martaba aur shaddi ke bad agr wo apne shohar se iske bareme batati hai to use nikha me rakhna chaye ya nahi rakhna chaiye ya fir talq dena chaiye? Aur abhi bhi us ka dil jise zina kiya us me thoda bahot atka huwa hai jise ke sath zina kiya sabo ki shaddi hogaye hai aur unko ek se do bacce bhi hai. Aise halat me kya kare meharbani karke baye Shariyat kya hukum deti hai is bareme? Mai mere bhai ki pareshani aur nahi dekhsakta.

Abu bohot gussa karty hai

Q: Mere Abu bahut gussa karty hai her baat pe jagda kerte hai hum sister's ko job karne nahi dete hum pe zulm karty hai humare ammi pe bhi bahut zulm karty hai. Humari 2 sisters ko already village mein shadi kera ya aur ab humari bhi shadi village mein karana chahta hai abu bahut zulm karta hai hum 3 sister's pe aur ami pe bhi ab huamara future bhi barbad kerna chahta hai. Please bhai aap log meri madad ki jiye mujhe ek taweez durood ya koi wazifa dejiye jes se meri abu sudhar jaye humare khuwahisho ko samjhe hum pe zulm na kare aalh aap logo ko jannat al ferdos naseeb karega bas aap log meri madad karo.

Sabar karne ki wajah se ajar milna

Q: Kia khubsoorati ya is se khawalay sey koi chiz ya koi or naimat na milnay pa khas jis ki insaan tamana bhi karta ho ya us ki zaroorat bhi ho ye sab or khubsoorati na milnay pa ajar milay? or us pa sabar karny ka ajar milay ga.mery pas Allah ki jo naimat nahi h or jis ki mja khahish ho chahy wo deeni ho ya dunayavi ma is k liye dua bhi karti hun or is k na milny or is pa sabr karny k ajar milnay k umeed bi rkhati hun kia ye thik esa kar sakti hun Allah is se naraz to nahi ho ga? Allah ne farmaya h k tum jo mangna h mje se mango to ma us se mangti or us se achy ki umeed rakhni chahiye to umeed rakhti hun k wo is ko pura kary ga jo many uper likhi h kia esi kar sakti hun? Allah k khazanay bhary pary us se mangnay ma kajoosi kiun karen yahan nahi to wahan sahi? Agar ajar ki umeed ho to sabar karna asan hojat h kia koi naimat na milnay ya esa milnay jis ma taklif ho us pa ajar ki umeed kar sakty hn?

Bhai ki wajah se pareshaani

Q: Aap ki madad ki jarurat hai. Mera ek chohta bhai hai age 22 saal hai. Janaw uske wajeh se puri family preshani main rehti hai Ammi Abbu or hum bade bhaiyu se bhi wo gali deke baatein karta hai usse hum pyar se samjhate hai par wo hume hi marne aata hai use kaise sudhare bahut Bigad gya hai wo Ammi Abbu tak pe haat chor deta hai aaye din uski wajeh se bahut preshani hoti hai or fiqr bhi hoti hai uski kahi kabhi kuch ho naa jaaye meri family bahut preshani main hai aap se Guzarish hai koi salah de hume ke hum kya kre jis jagha hum rehte he wha saare Hindu Hai or jo ghar musalmano ke hai wo bhi sath nhi dete jub mushibat aati hai tuh sab darte hai kahi kuch ho na jaaye please help.

Betha khaata peeta nahi

Q: Mera beta no mnth ka hy wo kuch bhi nahi khata peeta jab sota hy to mn fedr mn doad dyte hun bass peeta hy agr usi time jag jaye to forn doad peena chorr dyta hy kindly mujhe wazeefa bata dyn k kiya parh ke kuch khelaun taky khaye piayy.

Jis haalat me Allah Ta'ala hum ku rakhe, us haalat se hum khush rahe

Q: Me bohat pareshan hun muja Allah ne sub kuch dia sagey rishtay un ka payar acha khana pina rehna sahna har sahulat or jismani bhi tamam naimten or saht bhi jis ka muja bohat ehsas h or ma shukar bhi ada krti hun bs thori si kami h yani real beauti choti hight unfair rang or azaa waghera ka khubsoorat na hona jis ka ehsas or mukaml ya acha khubsoorat na hona ki khahish din raat meray dilo dimagh par havi rehti ha meri sirf yehi dunayavi khahish h muj alima hafiza tarjama tafseer karni ki bohat khaish h ma in sab kliye dua bhi karti hun khubsoorat na hona k ehsas bohat tang kart h ma ye samji k shyed ye azamish ho jis par sabr karn ka ajar milay par ap ne kaha k ye azmaish nhi h ma ye sochti k ye sab dunia ma na milnay ka to ajar milay ga na to is tarha shayed muja sabar ajye kia esa h ye b bta de.sir ma bohat koshish karti hun khud ko samjany ki k ye khatam honay wali chiz h Allah jo behtar hota h wohi kart phir ye bat ati h k Allah sab kuch kar sakta h wo muja khubsoorati denay ma bhi to behtari rkha sakta h esay sawalat zahan ma atay hn ma thak jati hun khud ko samjh k magr dil nahi manta thori dair samjhta h phir wohi zid or i try k is khaish ko dil se nikal dun but nhi kr pati ma bohat pareshan hun plz ap meri rahnumai karen mujha itmanan bukhsh jawab dijiye ga jis ma na umeedi na ho please.