Naseehat

Khuda Ta'ala ke lia kisi cheeze ku chowrna

Q: Insan jab kisi ko Allah ke liye chor daita hai jo usay sab se ziada azeez hota hai to us ko badle ma kiya milta hai? Mai ne kisi ko Allah ke liye chora halank us ke baghair ma bht akeeli hun. Laikin sirf Allah ke liye chora ke wo hame jaaiz or halal rishte me daal de ga jald hi Insha Allah. Laikin ma khush nahi hun que? Agr koi Allah ke liye kuch chorta ha to kia usay khush nahi hona chahiye? Mujhe to samjh nahi ati ma Allah se ziada muhabbat karti hun ya us se q k agr Allah se muhabbat karti to us ke piche khafa na hoti or agr us se karti to us ko chorti na. Me kia karun? i mean mujhe sakoon que nahi mil raha?

Shaadi ke ba'd ghar walo ki taraf se pareshaani

Q: Meri shaadi ko kuch hi mahiney huwe hain. Shaadi k baad se mere gher main bht jhagre or fasaadaat hogain hain. Me apni family ko bht samjhdaar samjhta tha, lekin main feel ker raha hu meri waalidaa or meri bahan (sister) bahut galat ker rahi hain meri wife k saath baat baat main usko nicha dikhaya jata hai. Agar woh kuch kehde ke aap log aisa kiu kerte ho tu kehne main ata hai tum bahas kerti ho zaban chalati ho. Mere abbu ko complain ki jati hai mere abbu bhi humen hi dante hain. Meri wife pregnant hai phir bhi dhair sara kaam is se kerwaya jata hai. Meri bahan baat baat main isko zalil kerti hai. Main apni biwi ko apne paiso se kuch acha dilana chahu tu woh bhi inko bura lagta hai. Humare ane janey pe mera mere susral janey pe bhi inko bura lagta hai. Agar hum koi shikayat keren abbu ko to mummy and sister mun pe jhut boldeti hain la illa ha ilala ho perh ke. Ghar ka mahol bht kharab hogya hai saari din humare piche humari buraiyaan chalri hoti hain ya tu mere abbu ko humki buraiyan kerengi ya maasi ko ya parosan ko. Mera dil kerta hai ma gher chor ker chala jaun rukna ka maksad ye hai main apne maaa baap ka aik beta hu main unko chor ker nahi jana chahta main acha bhala kamata hu Allah paak ka karam se pura gher main chalata hu. Mian nahi chor sakta. Ab mujhe aap koi hal batain mujhe kia kerna chaiye ye hum log k saath kia horaha hai.

Sihhat achee nahi hona

Q: Mera Massla yeh hai kay mujhy har waqt lagta hai kay ma marny wala hon or mujhy heart attack ho jaye ga yah pahir kisi taraha mujhy kuch ho jaye ga or ma mar jao ga aysa kuch do saalon say ho raha hai dil ko sukoon nai hai raat ko neened b thik taraha say nai ati hai kabi sar ma darad kabi chati ma ajeeb say khayal aty rehty hai.

Musht zani

Q: Me ek gunaah gaar hooo jis ne saari umer gusal nahi kiya me hand practice itni kerta hooo k din me 6 ya 7 martaba ab ye ek beemari ban chuki ha ap he mere liye aakhri raah ho meharbani ker k batae k me gusal kese karooo jis se saaare pichhle gussal ka qarz bhi jae aur paak hojae mera jism muje niyat aati ha her hisse pe pani dalna hota ha gusal me matlab tareeka aata ha lakin muje pori zindagi ki napakaaeee ko khatm kese kerna ha wo batae me hand practice ker k nahata hooo lakin gussal nahi kerta aur pora din bhi kabhi labhaar nahi nahta. Please muje pe Khuda ke waste batae tareka me ap k jawab ka muntazir hoo.

Awrat university jaana

Q: Mai ne yeh suna hai ke teen qism ke logon ki Allah madad karta hai. 1. Jo paak daman rehne ke liye nikaah kare. 2. Wo ghulam jo kitabat kare yani k deal k mai itne paise de kar azadi chahta hun. 3. Jo Allah ke liye jihad kare. To mai ne yeh poochna tha k mera case first wala hai. Aaj kal jo moashra ha or fahashi jitni aam hai to ma pakdaman rehna chahti hun. Mere ghar ka mahool itna acha nahi ha matlab jahan Allah k hukum mane jayen or na halal rizq ha na kapre kuch bhi halal nahi hai.. Me bht pareshan hun apne liye bhi or ghar walon k liye bhi. Meri age 20 hone wali ha 23 ko or me chahti hun kisi naik khandan ma naik mard ke sath mera nikkah ho jaye. Mujhe dolat se koi gharz nahi ha qu ke dolat se dunia kharidi ja sakti hai akhirat nahi. Laikin yeh bat ma apne ghar walon ko nahi samjha sakti. Me kiya karun? Ab me university ma admission lungi to wahan boys bhi honge or agr mujh se koi gunah ho gaya to is ka zimedar kon hoga? me bht koshish karti hun gunahon se khud ko rokne ki. kabhi kabhi phisal jati hun. Is liye mujhe nikkah karna hai naik mard ke sath ta k mera adha deen to bach jaye. kindly help me.

Maa baap rishta ko inkaar karna

Q: Me ek ladki ko pasand karta hu, lekin mere ma baap ne uske sath galat kardiye hai. Meri ammi ne usse kuch manga to wo nahi de pai to meri ammi ko laga ki wo jhut bol rahi hai aur mere abba ko wo ladki pasand nahi thi. Abba phele se hi mana kar rahe the shadi ko. Ab ammi bhi usko jhuti samaj ke mana karne lagi. Lekin ladki sach bol rahi thi. Me ammi ko samjane ki bht koshish kiya lekin wo log meri baat maan hi nhi rahe aur dusri taraf se ladki muje baddau de rahi hai ki qayamat me bakhsne nahi dungi. Meri wajah se uski life kharaab ho gai to wo muje jhannam me bhej kee rahegi. Me pareshan hu ek taraf mere ma baap hai aur dusri taraf wo. Ma baap ke dil se utar gaya hu me agr me ma baap ko chunu to wo ladki muje kabhi maaf nahi karegi aur meri pakar hogi aur ladki ko chunnu to ma baap ko taklif dene ka azab. Kya karu kuch samaj nahi raha. Lekin galti mere ammi ki hai aur abba ki hai.

Shaadi ka problem

Q: Mere ghar me ayk ajeebo garib chize ho rahi hai. Mere gharo me jitne bhi shadi ho rahi hai wo kuch saal chal ke end ho ja rahi hai aur fir case muqdama ho ja ra hai. Meri teen behno ki shadi hui tut gayi owr fir case bade bhai ki shadi hui wo bhi tut gayi owt fair case ho gaya. Ye takriban 18 yr se chal raha hai. sabki shadi hui owr tute chali gayi ab paiso ki vi tangi aa gayi hai. plzz batayi aakhir mazra kya he plzz. madad kijiye.

Shaadi me pareshaani

Q: I'm so worried and confused about my Imaan and Aakhirah. Allah ke karam se Allah ne hmesha muje apna qurb or mohabat ata fermai he. Me ne 12 saal ki age se perda start kar diya tha or apne ap ko buraiyon se bcha ke rakha jo sb Allah ki di hui tofeeq or karam tha. Meri 18 saal me shadi hogai or mere husband 34 years k they But vo1 intehai ayaash parast or khurafaat mn mubtala insan h,bht women mn involved they or sexually satisfy krne k qabil b nai they I told my parents but thay adviced me to do sabar and said me not to anything to him. Ab hamari shadi ko paanch saal hogye he. I have two kids. Me ne bohot mohabat khidmat or wafa ki apne husband se, but wo mazeed burey se burey hote gye. Wo bht martey hn, galiyan dete hn, buraiyon mn involved hn, mujh se gher insani salook krtey hn, yaqeen karen mn ne hr trha se apni himat se barh k berdasht or koshish ki is relationship ko acha krne ki, Allah ki raza or parents ki izat k liye But jb husband ne daikh liya k mn unki sb herkaten berdasht krti chli ja rhi hun to vo mazeed bure se bure hi hote gye. Pesey bhi apne p or logon p bht khushi se uratey hn but mujhe choti choti cheezon k liye b bht tangi dete hn. Jb bht fedup hojati hun or mind bilkul mauf hojata h shadeed depression or tension ki waja se to muaz Allah ki shan mn koi ghustakhi ki bat nikal jati h jis p mn bad mn bht sharminda hoti hun but us waqt jese mera damagh mere control mn hi nai rehta Or ese hi husband k liye b bure alfaaz nikal jatey hn shadeed takleefon k bais Ab please in situations mn sabar k sath sath koi tadbeer or solution btayen Or muje tension ye h k shadi se pehle to Allah ki raza k mutabiq life spend kr rhi thi but jb se shadi hui h zindagi bht bht aziyat or takleef mn guzar rhi h or sath kbi husband k liye burey alfaz or Allah muaf fermaye kabi Allah se giley shikvon k bais akhirat b berbad na hojaye But mn kya krun jb aziyat berdasht nai hoti to mera apne mind p control nai rehta Ese to dunya or akhirah dono berbad hoti feel hoti hn Plz meri help kren mn kese in sb se chutkara paun or kese ye yakeen hasil ho k mera Allah mujh se razi he. Please help me I'm too depressed.