Naseehat

Wasaawis owr shubuhaat

Q: Me na phly bhi sawal arsal ki tha ager aik aurt wehum our weswasay ki mareez ho quran sun rahi ho aur lufz (unfusihim) any par kisy weswasay ki waja sa khud kalami ma keh day yay to quran ka lafz ha yay to kah ja sukta ha alfaz serf etnay hi bolay zehen ma allah ki zat murad ho wo lufz bhi na bolay bus lufz son ker serf etna keh da ya to quran ka lufz kah ya to kah ja sukta ha zuban sa ya hi lufz ada kary baki wo lufz aur allah ki zat ka mutuliq weswsay ya khyal zahen ma ho to is ka kia kafara ha kia is sa iman our nikh pur aser ho ga jub ka mera kufer karna ka khial na tha bus wesway ki waja sa keh dea shitan mujy allah ka bary ma bury weswsay dal raha tha ma na apni taruf ya sooch ker ya to quran ka lufz ha our acha lufz ha alfaz keh deay mujy pata ha ya ba many jumla ha lakin mujy iman our nika ka bary ma wehum ho gaya ha mujy kuch nufseaty mesla hay jo khial zehn ma a jata ha wa zehn sa nahi niklta pleeeeeeez mujy is ka hal batain muj sa weswason ki waja sa ba mani sa jumaly nikul jaty ha halanka mera koi muksud nahi hota pher mujy apny lman our nikha ki feker ho jaty ha pleez mujy batain asy halat may main kia kron ma bary tention ma ho our dosra jumla ma bolnay to ya lagi thi khana kaba ki tarf monh ker ka nahi thokna nahi cahyeh lakin ma na do teen bar ya keh dea khana kaba ki trf monh ker kay thokna chahy nahi yani nahi bad ma kaha chahey phly keh dea ma na gult jumla bol dea ha is ki waja sa mujhey itny den sa tention ma hon phir meney socha kay tention leney say behtar hai app say rahunamai hasil karoon.

Tattoo ku nikaalna

Q: Maine recently apne baazu pay ek apne naam ka tatto banvaya joki mjhe pata thi ye haraam hai. Bas ye mera bachpana tha. Mai bohat pareshan hu tabsay kyun ki mjhe aisa nahi karna chahye tha mera dil sach mai toot gaya hai. Sun nay mai aya ki is douran gusal durust nahi hai aur namaaz bhi durust nahi hai. Mai bohat pareshan hu. Pleaseis ka hal bata do aur kya touba karne se Allah mia maaf karenge mai kabhi aisi galati nahi dohraunga.

Shaadi me pareshaani

Q: Mera masla shadi ku 5 se 6 saal hogaye. Awlaad nahi he uska shohar or sasural walay shuru se sahi nahi hai asal mai shadi ka istikhara sahi nhi tha phr bhi shadi kar di gayi. Ab surat e haal ye he ke baat baat pe bezati ki jati he talaq ki dhamkiyan dewar tak izzat nahi kartay lekin me ne 5 saal se sabr kiya hua hy apne maikay walo tak ko nhi bolti meray shohar ki dusri shadi ka socha ja raha hy jab k mera ilaaj tak nhi krwaya jata aulaad k liye ek mahina ilaah hota hy phr saalo bhool jatay hy zameeni 0 pe zameenay li ja rhi hy lekin ilaaj k liye paisay nhi or ilaaj nhi. krwatay mera sabr jawab de gaya hy dil bhi bezaar hogaya hy her cheez se. Please mujhay koi raasta dikaye. Reply soon. Please reply in sab ka walidain ko b pata hy. Wo kya kahaygay ghr bithanay ke dar se sabr ka kehtay hy. Plz kitab khol batye ke koi bandish aulaad ki to nahi he. Kiyon ke humaray khandan mai aisa bohot hota hy. Help please koi raye de achi.

Shaadi me pareshaani

Q: Mera masla shaadi ko 5 se 6 saal hogaye aulaad nahi he. Uska shohar or sasuraal walay shuru se sahi nahi hai asal mai shadi ka istikhara sahi nahi tha phr bhi shadi kr di gayi ab surat-e-haal ye hy k baat baat pe bezati ki jati hh talaq ki dhamkiyan dewar tak izzat nhi krtay lekin me ne 5 saal se sabr kiya hua hy apne maikay walo tak ko nhi bolti meray shohar ki dusri shadi ka socha ja raha hy jab k mera ilaaj tak nhi krwaya jata aulaad k liye ek mahina ilaah hota hy phr saalo bhool jatay hy zameeni 0 pe zameenay li ja rhi hy lekin ilaaj k liye paisay nhi or ilaaj nahi karwatay mera sabr jawab de gaya hy dil bhi bezaar hogaya hy her cheez se plz mujhay koi raasta dikaye.

Fuzool khiyaalaat

Q:

1: Hamare dilon ki baton se to sirf Allah hi wakif hota hai to jab ham koi naik kam karne ka irada karte hain dil mai to shaitan qu tarah tarah ke waswase dalna shuru kar daita hai ke ham akhir wo kam ya to karte nahi hain ya us ma wo jazba nahi hota jo pehle hota hai?

2: Allah ko khush karne ke liye kisi insan ko dukh de sakte hain? Matlab Haqooq ul ibad to maaf nahi hone jab tak wo insan maaf na kar de to agr kisi ka dil dukhayen Allah ko khush karne ke liye to kia jaiz hai?

Larki ke maa baap larka se khush nahi

Q: Me or ek lerki apas me piyaar krty hain. Me rishta le ke gya inkari ho gye tou socha kuch arsy baad le k jwn ga lerki bhi razi thi ke boly ge parents ko per achanak do din phly jab m bejny laga usky parents ne uska rishta kar dia begair us se puchy or uski razamandi ke or uski mangni b ho gye h Kya m koi wazifa ya dua kar sakta hu ke ham dono sath hon koi mojza ho jai. Woh lerki kush ni h rishty se or na woh kabi parents ko boly ge kehti h mar jwn ge per parents ka ser nechy ni hony dunge. Sawal asal me yh h k kya m koi wazifa ya dua kr sakta hu k ham dono sath hon koi gunah tou nahi. Note uski mangni hogye h or woh kush ni h uski ami ko b patah uskadil nahi he.

Bache ku coffee, sweets, cooldrink, waghairah se bachaana

Q: Mera beta chaar saal ka hai lekin wo itna rota hai, zid karta hai, marta hai apney bhaiyon ko. Ghusey ka boht tez hai, mei us k liye boht pareshan hoon. issi ghusey aur roney ki waja se us ne haklana bhi shuru kar dia hai. Jis ka wazeefa mei ne aap se lia tha. Wo mei parh rahi hoon, lekin is ka rona aur ghusa krna, zid krna din badin barh raha hai. Khudara mujeh koi wazeefa batayen jis se Allah Pak mere is bachey per aasaniyan karey aur is ka ghusa, zid, rona khatam ho jay. Allah pak aap ko jaza e khair ata farmaye. Ameen

Kkhaandaan ke bare aur tajraba kaar logo se mashwarah kare tijaarat ke baare me

Q: Hum hud say ziada pareshan hain. Please ek ehsaan karain hum per aap batain kay kiya meray bachon ko pakistan main job karna behtar hay ya pakistan main karobaar karna behtar hay ya sierra leone main job karna behtar hay ya sierra leone main karobaar karna behtar hay aur ya ghana main job karna behtar hain ya ghana main karobaar karna behtar hay. Aap ka ehsaan hoga aap ko duain dounga.