Wazaaif

Haklahat ke lia wazifa

Q: Mera chaar saal ka beta hai jis ne achanak hi baat krtey huay haklana shuru kr dia hai.pehley bilkul sahi baat krta tha lekin ab boht ziada hakalahat k saath baat krta hai. Doctors ko b dikhaya hai to sub results normal hain. Plz aap mujeh koi wazeefa bata den jis se us ki haklahat khatam ho jay. Mei boht pareshaan hoon. Allah Pak aap ko jaza e khair Atta farmaye. Ameen

Mahabbat aur ulfat ke lia wazifa

Q: Mere 2 betiyan hain. Mere husband bohot achey hain mere nand bhi sath hey jo ke unmarried aur old age hey. Hamarry ghar main ek sannata aur khamoshi rehti hey jis ke waja se ghuttan si tari rehti hey Sab ki tabiyaton main. 2 betiyon ke baad oulad bhi naheen horahey, Sab ek dusray ko napasand kerty hain.

Chen ke lia wazifa

Q: Mera sawaal ye hai ke raat ko neend nae ati subah dil bechan hota hai hr baat dil py laita hn n os ke gham kam he nahi hota. Koi dhoka day tou raaton ki neend subah ka chen khatam ho gya hai mera dil bas marny ko karta hai zindagi se dil bhar gaya hai. Ap batain Quran o sunat ki roshani me k mn kya karo chan khatam ho gaya hai dil ka.