Wazaaif

Bemari ke liye wazeefah

Q: Please suggest what to do... Bhout preshani hai ghr pr kuyn k mai aur mere aur doo (two) bhi doctor k pas gayay thay jahan pr doctor nai humay hepatitis B diagnose kiya ki hum teno bhi ko hepatitis B ho gaya ha ghr pr mom aur papa (Mother and father) ko b sugar yani (diabetes) hai ghr pr sb pareshaan hai. Please Mufti Sab suggest me kya kiya jayay aur kuch taweez b plz bejho hum teno bhi (three brothers) k leye aur Mother and father k leye b...

Shifa ke liye dua

Q: Mere daddy ki dono kidney fail hain or woh dialysis par hain hafte main 3 din unka dialysis hota hai or diabetes bhi hai toh diabetes k liye woh medicine or din main 2 baar insulin lete hai unki age 50 hai 2 saal ho gaya hai dialysis main daddy koh bahut takleef hoti hai jaise bp low ya high ho jaana or unki aankh seh bhi kaam dikhta hai kaan seh kaam sunaye deta hai sir dard dena yeh saab hota hai plz aap kuch aise dua ya aisa kuch bataye jissey ki unki kidney kaam khud seh kare iss bimari seh hamesha k liye Sifa mil jaye or jaldi thik ho jaye operation ka bhi bahut masla hai iss liye aap kuch aisa bata deh jissey ki unki kidney chalu ho jaye naa dialysis ki zarurat ho or unhe haar bimari seh sifa mil jaye

Izzat ke lia wazifa

Q: Mera masla ye hai hamare ghar wale, parosi, rishtedar yahan tak ke koi bhi bacha b ho koi b meri or meri ammi ki izzat nahi karta jis ko jab chahe hamain be izzat kar deta hai.koi hamari izzat nahi karta. Logon ki nazron me gir gaye hain hum. Please is masle k liye koi wazifa batayen or dusra ye hai k hum ne mere bhai ke rishte k liye ek jaga socha hai, mera bhai bhi wahan shadi karna chahta hai is liye please koi wazifa batayen jis se us ka rishta wahan ho jaye.

Nazar ka wazeefah

Q: Manay net pa nazar taiz karnay ka wazifa dekha h jis ma 10 10 martba sura fatiha or ikhlas ka bad sura baqra ki ayat#18 71 bar parhani h lakin manay is video k coment dekha jo ye tha k is ayat ka tarjuma to (andhay gungay bahray phir lot k nahi ayen ga) h to ye ayat is maqsad k liye parh leni chahiye ham to nazar taiz karnay k liye parhana h lakin tarjuma ma to andhay k zikar h ma pareshan hu ap meri rahnumai farmaye.

Shifa ke liye wazifa

Q: Mere bhai ki beti bahut bimar hai or woh 6 mahiney ki hai uss ka sir par swelling hai or paani bhar gaya hai doctor operation karne bola hai but uss main bhi doctor bola ki chances kam hai please main aap guzarish karte hoon aise dua bataein ki meri bhai ki beti ariba jaldi seh thik ho jaye uss is bimari seh jaldi shifa mil jaye.

Gabraahat ke lia wazifa

Q: Meri umer 48 years hey aur main aik government Mulaazim hun. Taqreeban do mahiny se mujhy akaily main gabrhat hoti hey aur raat ko neend nahi aati. Din ko kaam main masroof hota hun tu behtar mehsoos karta hun aur jab bhi farigh ya akaily hota hun to ajeeb ajeeb khayalat aaty hain aur gabrahat hoti hey. Mujhy mery wo dost shiddat se yaad aany lagty hain, jo ya to Allah ko piyaary ho chucky hain ya itny door hain ke mera un se koi contact nahi hy. Bara e Mehrabani koi Naseehat farmain.

Zulm se bachne ke liye dua

Q: Kya koi sukhs jo k dosaray sukhs k liye hamesha burra he sochta ho aur us sukhus k zinda rhnay ke waja se us k sth hamesha burra he honay ke umeed ho kyunk wo sukhs us k liye khabhi acha honay he na dey aur wo sukhs but mujbor ye sub sehnay k liye kya Allah sirf is waja se kisi kemaut jaldi kar sakta hy kyunk wo sukhs ab zi da nhi us ke jaldi maout ke ye waja kya hoskty hy pls tell me about this clearly.

Shaadi ke liye wazifa

Q: Mujhe 41 hogaya he, pehle jitni b rishta aayaa mera, mujhe kisi me b dilchaspi yaani ek shadi kerneki khushi nahin hasil huii jiski wajah se pasand apna nahin huii, mein shaadi to kerna chahta hun lekin jo ladki mujhko pasand aajaye, uska chehra, rang, naknaksha per khudah ki kasam jisko me pasand samjha wahan rishta nahin banpaya. Abb to derr hogayi he kya Allah se ummid lagaye rahun, fir kya duaa kerun, meri maa ka b inteqal hochuka abb mere chhote bhai behen shadi kerchuke per mujhe kyaa kerni he apne Rabb se. Kya kerun kuchh samajh me nahin aataa. Allah khair kare. Aamin. Koi wazifa yaa apni gunah ki bakhsishh.