Mote kapre ko paak karna
Q: Mera sawal yeah he ke mota kapra jaise jeans, pant, kambal wagera agar napaak hoti he to kaise paak karna parega? Kyunki in kapro ko th achi tarah ragara nahi jata hai.
Q: Mera sawal yeah he ke mota kapra jaise jeans, pant, kambal wagera agar napaak hoti he to kaise paak karna parega? Kyunki in kapro ko th achi tarah ragara nahi jata hai.
Q: Mufti sahab muje yeah janah hay ke ghusal khaane me napaak kapra ko kaise dhona parega?
Q: Mera sawaal ye he ke agar kisi kapre par pesab lag jaye toh osku pak karne ke liye nichor kar baalti me daal kar dhona parega kya? Ya sirf nichorne se hojayega? Dosra koi tariqa hai toh batana.
Q: Liquid jaisa napaak kapre dhone ke waqt oske upar paani daalne ke liye mug se baalti se paani lene se mug napaak hoga kya agar mug par kuch napaaki nazar nahi aati hai toh?
Q: Mera sawaal ye he ke agar napaak paani me kisi ne ghusal kar liya ho, aur bad me pata chala ke ye paani napaak hai, toh unke jism ko paak karne ke liye eyk bar jism par paak paani daal dene se kya jism paak ho jayega ke nahi? Ya aur koi tariqa istimaal karna parega.
Q: Me ye janna chahta hu key napaak kapre nichorne ke waqt kya hath napaak ho jati he ke nahi? Our kapre se napaaki door karne ke liye, kapre ko nichorne ke waqt kapre me pani ka cheenta dene ke liye mug ko hath lagaane se kya mug napaak hoga? Our kapre ko ghusal khaane ke jis jagah par nichora gaya os jagah kya napaak hojayege? Agar hoti hai toh phir kapre paak hoge ke nahi? Agar nahi hote he to kapre ko nichorne ke bad, kisi baalti me paani lekar baalti me kapre ko dubana parega kya? Agar kapre ko baalti ke pani me dubaana parega to ek baar pani me duba dene se kya paak ho jayega? Aur wo balti paak rahegi kya? Our ek baar agar kapre ko nichora gaya jagah napak ho jati hai to os jagah ko kaise paak karna parega? Kapre ko paak karne ka aur koi tariqa hai kya?
Q: Me ye janna chahta hu ke aksar har waqt ghusal khaane ke jis jagah par napaak kapra rakh kar nichora jata he wo jagah kya napaak ho jati hai? Agar wo jagah napaak ho jati he, to kapre bhi to napaak rahenge na, toh os jagah par kapre ko nichor kar phir baalti me daalkar dhona parega kya? Agar baalti me paani lekar, balti ke undar kapre ko daal deta hu, tabhi baalti ka undar ka paani kya napaak hojayega? Agar baalti ka undar ka paani napaak ho jata he to kapre bhi to napaak rahenge na? Our aapke pass kapre ko dhone ka asaan sa koi tariqa he to zuroor batana, kyun ke muje kapre paak karne ke har waqt bohot shak hota hai, yahi ke kapre ko pak kar paye ya nahi. Our is wajah se aksar me bohot preshaan rehta hu, to aap muje meherbaani karke koi hal bata dijiye taake meri pareshaani door ho.
Q: Muje ye jaana he ke agar kisi ne napaak baalti ko paak karne se phele, os baalti se ghusal kar leta hai, toh oska jism napaak hojayega na? To oska jism ko paak karne ke lia, balti ko paak karke osme pani lekar jism ke poore hisse par ek bar dal dene se jism ka sara hissa kya pak hojayega?
Q: Mey 'Youtube' me taharat ka ek video dekha. Us me ayk mufti sahab ne kaha key agar kisi chadar me kise bacha ne pesab kar diya ho, toh isku kisi ne otha kar rakh diya bad me pak karne ke lye, bad me chadar ko pak karne ke liye ley gaye to osme peshaab ka koi nazar nahi aa raha ho. Mufti sahab ne bataya ke is chadar ko paak karne ke lye kise baalti me rakh kar us baalti me nal khol kar pani bhar kar, us baalti ke upar hath rakhne ke liye kaha, take chadar ka koi bhi hissa baahar na aaye, our phir jab wo baalti pani se poori bhar jayegi, tab baalti se kuch der paani beh jane dene ke liye kaha. Our unho ne kaha ke jab thora pani beh jayega tab chadar paak hojayegi our baalti ka undar ka pani bhi pak ho jayega. Unho ne ye nahi bataya ke baalti pak rehenge ya nahi. Ab mera sawal aapse yahi hai key wo baalti kya paak rehenge ya nahi?
Q: Me yeah jana chahta hu key agar kisi mug ke bahari hisse par peshab jaise paani ke najaasat lag jate hai toh usku kaise paak karna parega? Meherbani karke mere sawal ka jawaab zuroor dena.