Hadith

Hadith verification

Q: Kia ye hadees sahi hy? Agar sahi hy to kitaab ka hawala inayat farmaain, shukria.

Aap salalaho alaihi wasalam ne farmaya: jis ne wazu karne sy pehly kalimah parh lia Allah wazu ke har qatry par ek farishta khara kr dega jo qayamat tk kalimah parhta rahy ga jis ka sawab kalimah parhny waly ko or sub ko btany waly ko milta rahy ga.

Ayk hadith ki sihhat ke baare me sawaal

Q: Kia ye hadees sahi hy?

Anas (Radhiyallahu Anhu) sy riwayat hy k ek shaks ne pocha ya Rasool Allah (Sallallaho Alaihi Wasalam) mera baap kahan hy aap ne farmaya dozakh mai. Jab wo peth mor kr chala to aap ne is ko bolwaya or farmaya k mera baap or tera baap dono jahanum mai hain. Saheeh Muslim, jild 1, hadees #500 baab: jo shakhs kufr pr mary wo jahanum mai jay ga.

Hadith ke mutaalliq sawaal

Q: Ayk Hadith batayi gayi hai ke “Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya ke jo ramzan mahine ki aane ki khush khabari pehle kisi ko de to us par jahannam ki aag haram hai”Yeh hadith sahi hai ya nahi aur agar hai to hawala pesh karne ki zahmat karen.