Khawateen ke Masaail

Haidh ka masla

Q: Meri umar 53 saal ha mujy 5 maheny bad haiz huy hain or 20 din say bleeding ho rahe ha. Pehly 10 12 din zayada bleeding hue ha magar ab kuch din say kabi kabi thore se bleeding ho jate ha magr mukamal khatam nai hote bray mehrbani mujy bta dain kya ye noraml ha? Koi pareshani ke bat to nahe? Kya main namaz parh sakte hun ? Owr haiz khatam hony ke umar kya ha bray mehrbani bta dain shukriya owr ye bhi bata dain ke mujy doctor ko check karwany ke zarorat to nahe?

Iddat ke dowraan me ghar se baahar nikalna

Q: Meri ek dost ki mangni ko 3 saal hony ko arehy hain, uski saas ny kaha tha k wo apni beti ki phly Karaingi phir bahu laingi. Us waqt Meri dost ki nand ki ek jaga mangni tot chuki thi ek saal bad kahin aur hoi phir saal bad rukhsati ka howa, lykin phir shadi ki tarekh teharny k bad mangni phir tot gai. Ab uski saas ny kaha bety ki kar dyti hon, ab meri dost ki june ki date fix hogai hy, lykin achanak meri dost k behnoi ka intiqal hogaya aur uski behan iddat my hain jo k 15 July my khatam hogi. Shadi ko aagy barhany my bht paisa lag raha hy hall ka rent b double, agar meri dost june my shadi karly tu kia uski behan jo iddat my hain wo shareek ho skti hain? Kio k unki shirkat k bina meri dost k ghar waly nhi manaingy aur burra b lagega k behan iddat my hy aur shadi kar li.