Khawateen ke Masaail

Beautician ka course karna

Q: Mai apne center per ladies beauty parlour ka course kerwana chahta hun. Government ki taraf se mujhe offer kiya gya hai mgr mere ghar k log mna ker rahe hai ki usme eyebrow aur wax aur bal ktana sikhaya jayega is lia ye haram hai. Aur usme kamaya gya paisa bhi haram hai. Kya iski kamayi haram hai ya halal?

Hambistari ke ba'd khoon dekhna

Q: Meri shaadi ko abhi sirf ek mahina hi hua hai aur jab bhi hum sex krte hai toh mujhe khoon aata hai aur ghusl krne k baad discharge k sath halka halka sa khoon aata hai toh kya mujhe har namaz k liye har baar gusl krna hoga? Mai sex krne k baad 2-3 ghante wait krti hun fir gusl karti hun aur ye khoon haiz ka nhi hai.

Chaar din ke ba'd haidh ka khoon band hojana

Q: Mujhay periods meri date kai mutabiq aye but chaar raatain aye per woh na honay kai barbar tha main pad lagti thi but blood us main nai but washroom main ata tha 5 din main phr white pani agiya tu mainay namaz start karli meri mudat waisay 10 din ki hai howa Yeh kai 10 days ki dophar main blood aiya aur woh blood aisay jari hain jaisy periods ka ho tu namaz parhni hai ya ahtiat karni hai Baray mehrbani jawab dai dain.

Haidh ke kuch masle

Q: Mujhe 3 mahine se haidh mn beqaidge ke shikayet hay. Pichle mahine 19 October se namaz shrou ke thee. Dr ne haidh ko regulate krne k liye dawa de jo 24 October se shrou ke or 13 November tk (21days) tk kha k rok dene hay jis k baad haidh shrou hona chaye. Maslah ye hay k 9 Nov ko asr k waqt maine green colour ka pani dekha, phir 12 Nov ke zuhr mn dekha jo bohot he halka peela mehsoos horha tha (agr bohot ziada ghor se dekho). Jb k baqe waqt safaid pani he ataa rha 13 Nov ke rat 10:30 pe phir light green colour ka pani dekha.

1. Kia 9 Nov se haidh shumar kia jayega jb k ye pani musalsal nahin arha tha.

2. Dawa chorne k baad lazmi khon aye ga to kia wo istehaza mn shumar hoga baqe k 10 days nikal k agr waqi 9 Nov se haidh k din shumar karen to?

3. Haidh ka jb se maslah hua hy bar bar wehem hotay hn, aise mn kia krna chaye?