Qasam owr mannat

Qur'an Shareef par haat rakh kar qasam khana

Q: Mujhe ye poochna tha ke agr koi majbor kary Qur'an utha ke kasam khany ko wo bh kisi jaiz kam ke liy nahi maslan ke falan lrky se bat nah kro ge ya shadi nh kro ge to kia ye jaiz hy? Kia esy tora ja skta hy? Owr dosra ye pochna tha ke agr koi apni izzat owr jan owr ghr walon ki izzat bachany ke liy quran py hath rakh ke jhoot bol de par us jhoot se kisi ka nuqsan na ho to es ka kia kaffara he?

Jhooti qasam

Q: Main aik mamlay mai shamil thi. Mairay shohar ko pata chala to unho nai kaha quran per hath rakh ker kaho kai tum is mamlay mai nahi or agar jhoti ho to meri olad mar jai. Mai nai aisa hi kaha. Ab mujhay batain. Please kai kia is ka kafara hai. Main bohatt pareshaan ho. Mairi olad ku kuch na ho. Please mairi madad karain.

Qasam towrna

Q: I want to ask, agar koi Qur'an pe hath rakh ke qasam khaye ke main aj ke baad khbhi is chez pe tumhain force nahi karon ga aur bilkul sachey dil se boley ke main Quran ko qasim khata hon ke khbhi main xyz chez per force nahi karon ga or uske kuch din baad he us qasam ko todr dey tow uska Kia kafara ya Gunnah hai?

Tawaaf or umre ki manaat maangna

Q: Mene ayk question poochna tha. Please reply zaroor kijiye ga. Me makkah me rehti ho apne husband ke sath. Mene tawaaf or umre ki manat mangi thi to manat tu meri pori hogayi thi lekin tawaf or umro ki tadaad zyada he like 100 mera 1 beta he 1 year ka problem ye heke me crowd ki waja se or ghar ke kaamo ki waja se kar nahi sakti kafi koshish ki krne ki lekin complete nahi howe tu ap mujhe bata de ke me tawaf or umre ki jagah nawaafil ya roze rakh sakti ho?

Qasam ke baare me shak

Q: Maine quran par haat rakh kar kasam khaya ki maine ek insan ko phele gali nhi diya us insan ne mjhe phele gali diya lekin mere dil mai ek shak hai ki kahi maine hi to phele gali nhi diya hoga mai bht pareshan hu ab mjhe kya krna chahiye?