Khwaab me miswaak dekhna

Q: Me ne chaar miswaak dekhi he or wo choti he or thori se istmaal huwa he or baad me ne dekha ke wo me ne chaar logo ko de di.

A: Miswaak karna ayk bohot bari Sunnat he. Is se namaaz ki qeemat owr sawaab barta he. Allah Ta'ala aap ku Huzoor (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki Sunnat par amal karne ki tawfeeq naseeb farmae owr dowsro ku sunnat ke raaste par chalne ka zarya banae. Issy tarah khwaab me miswaak dekhna zabaan ke hifaazat ki taraf ishaarah he. Jab hum lowgo se mile owr baat kare, to hame chahia ke akhlaaq se pesh awe owr koi bhi baat apne zabaan se ne nikaale jo Allah Ta'ala ki naraazgi ke baais ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada