Qur'an Shaeef ki ta'zeem karna

Q: Meri ammi ku ye khwaab aae he ke hamary ghr me aik quran pak he jo mery bhae actuall me dubai sy lae thy us quran-e-pak ko and 5 surate ko ammi kisi ko dainy jati h is liye k ghr m koe prhta nhi h ghr m lakin rasty m khayal aata h k 5 surta tu wo roz subha prhti h is sirf quran-e-pak dainy ka faisla krti hain jisy dainy jati hain wo aurat khti h k is quran-e-pak ko dy k ja rahi ho dekhu y kitna rooo raha h. To ammi ny us aurat sy pocha quran-e-pak b roota h kya us ny jawab diya han roota h. Phir ammi ny quran-e-pak us aurat ke mangny k bawjood wapis ghr ly aae.

A: Qur'an Shaeef ki ta'zeem karo owr us ku adab owr ihtiraam ke saat rakho. Apni zindagi ku Qur'an Shareef ki mutaabiq guzaaro, gunaaho se parhez karo owr tamaam kaam ku sunnat ke mutaabiq karne ki kowshish karo. Issy tarah rowzana subah owr shaam kuch waqt nikaalo Qur'aan Shareef parhne ke lia.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada