Namaaz ki ahammiyyat

Q: Mujhe koi aisa wazifa bata de jis se me namaazi ho jawu. Me pehle khushi khushi namaaz parhti thi. Pata nahi ab kia ho gaya he. Mujhe namaaz parhne ka dil nahi karta. Me jitni bhi koshish kar lu aik do namaze hi parhti hu wo bhi kabi kabaar. Mujhe koi wazifa bata de.

A: Deen me Imaan ke ba'd tamaam faraaidh owr ibaadaat me se namaaz ku sab se ziyaada ahammiyyat di gayi he. Namaaz ka maqaam nihaayat buland he. Hadith Shareef me aaya ke Qiyaamat ke rowz sab se pehla sawaal namaaz ke baare me hoga. Agar banda is me kaamiyaab huwa, to ummeed he ke Deen ke dowsri cheezo me bhi wo kamiyaab hojaega. Owr agar wo is me nakaam huwa, to dowsre cheezo me nakaam hoga.

Namaaz ku qadha karna haraam he. Bohot bara gunaah he. Sakht waeede Hadith Shareef me waarid huwi he us aadmi ke lia jo apni namaaz ku qadha kare. Sache dil se aap Allah Ta'ala se tawbah kare guzishta saalo ki namaaz chowrne ki wajah se owr apne dil me azam kare ke aainda aap koi namaaz qadha nahi karegi. Issy tarah guzishta saalo ki faut shuda namaazo ki qadha karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)